hum ahl-e-KHauf
yahī thakan ki jo in bastiyoñ pe chhā.ī hai
utar na jaa.e parindoñ ke shahparoñ meñ bhī
ye TuuTe phūTe makānāt ūñghte chhappar
charāġh-e-shām kī dhundlī sī raushnī ke amiiñ
na in kā yaar koī hai na koī nukta-chīñ
na jaane kab koī dast-e-sitam idhar aa jaa.e
aur is zarā sī bachī raushnī ko khā jaa.e
ye khilkhilāte hue hañste muskurāte log
basoñ meñ railoñ meñ manzil kī samt jaate log
koī dhamāka inheñ jaane kab uḌā jaa.e
lahū ke dhabboñ pe afsos kartā hākim-e-shahr
aur us ke baad mohabbat pe chand taqrīreñ
jo ahl-e-shahr kī peshāniyoñ pe raushan haiñ
malāl ye hai ki us ko koī na dekhegā
ham ahl-e-ḳhauf ke sīnoñ meñ jo dhaḌaktā hai
yahi thakan ki jo in bastiyon pe chhai hai
utar na jae parindon ke shahparon mein bhi
ye TuTe phuTe makanat unghte chhappar
charagh-e-sham ki dhundli si raushni ke amin
na in ka yar koi hai na koi nukta-chin
na jaane kab koi dast-e-sitam idhar aa jae
aur is zara si bachi raushni ko kha jae
ye khilkhilate hue hanste muskuraate log
bason mein railon mein manzil ki samt jate log
koi dhamaka inhen jaane kab uDa jae
lahu ke dhabbon pe afsos karta hakim-e-shahr
aur us ke baad mohabbat pe chand taqriren
jo ahl-e-shahr ki peshaniyon pe raushan hain
malal ye hai ki us ko koi na dekhega
hum ahl-e-KHauf ke sinon mein jo dhaDakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.