hum bachche hum shahzade
Interesting Fact
مطبوعہ: ماہنامہ ٹافی، 1977ئ
phuul khileñge gulshan meñ
diip jaleñge āñgan meñ
dil na kisī kā ham toḌeñge
ahd hai apnā bachpan meñ
rakheñge maañ baap kī laaj
chamkeñge ilm-o-fan meñ
bāham mil ke raheñge ham
khoT na rakkheñge man meñ
duniyā ham ko dekhegī
ek na.e pairāhan meñ
phaileñge ḳhushbū kī tarah
dhartī ke is āñgan meñ
dil meñ jo rakhtā hai lālach
rahtā hai vo uljhan meñ
ham bachche haiñ ham shahzāde
kheleñge har āñgan meñ
jo hai samajhtā jhūTā ham ko
chehra dekhe darpan meñ
ilm kā jis ko shauq nahīñ hai
ḳhaak hai is ke dāman meñ
ūñchī ūñchī baat nahīñ hai
ūñchī himmat hai man meñ
'shaukat' ik din lā.eñge
bachche ḳhushiyāñ jīvan meñ
phul khilenge gulshan mein
dip jalenge aangan mein
dil na kisi ka hum toDenge
ahd hai apna bachpan mein
rakhenge man bap ki laj
chamkenge ilm-o-fan mein
baham mil ke rahenge hum
khoT na rakkhenge man mein
duniya hum ko dekhegi
ek nae pairahan mein
phailenge KHushbu ki tarah
dharti ke is aangan mein
dil mein jo rakhta hai lalach
rahta hai wo uljhan mein
hum bachche hain hum shahzade
khelenge har aangan mein
jo hai samajhta jhuTa hum ko
chehra dekhe darpan mein
ilm ka jis ko shauq nahin hai
KHak hai is ke daman mein
unchi unchi baat nahin hai
unchi himmat hai man mein
'shaukat' ek din laenge
bachche KHushiyan jiwan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.