hum be-watan KHwabon ke jolahe hain
bahut sī āvāz jamā kar ke
ek chīḳh banā.ī jā saktī hai
bahut thoḌe lafzoñ se
ek bāġhī nazm banā.ī jā saktī hai
lekin
zinda qabristān meñ ek nazm kā katba kaafī nahīñ
qabreñ dam sādhe paḌī haiñ
hamārī maa.eñ murda bachchoñ ko janm de rahī haiñ
lāsheñ shanāḳht karte hue hujūm apnā chehrā
bhuul jaatā hai!
ham zindagī se sohbat karne nikle the
aur zindagī ne hamāre ḳhusiyoñ se keñche banā liye
hamāre lahū meñ chyūñTiyāñ reñgtī haiñ
magar ham apnī marzī se khujlī tak nahīñ kar sakte
qatār meñ khaḌe khaḌe ham dūsroñ se muḳhtalif kaise ho ga.e!!!
zindagī mīzān hotī to ham us ke palḌe apne vajūdoñ se bhar dete
magar kyā kareñ ki ham ḳhud apnī nazroñ meñ bahut be-vazn the
hatheliyoñ meñ surāḳh hoñ to āñkheñ kahāñ sambhāleñ
ham ne sirf chehre nibhā.e rishte nahīñ
pyāsī zamīnoñ meñ aañsū kāsht kar ke bhī
buuñd bhar hariyālī nahīñ khilī
ham saarī umr apne ḳhvāboñ ke jolāhe bane rahe
aur apne bachchoñ ke liye ek sāya-dār parcham na bun sake
hamārī miTTī mahz miTTī rahī
kabhī vatan na ban pā.ī!!!
bahut si aawaz jama kar ke
ek chiKH banai ja sakti hai
bahut thoDe lafzon se
ek baghi nazm banai ja sakti hai
lekin
zinda qabristan mein ek nazm ka katba kafi nahin
qabren dam sadhe paDi hain
hamari maen murda bachchon ko janm de rahi hain
lashen shanaKHt karte hue hujum apna chehra
bhul jata hai!
hum zindagi se sohbat karne nikle the
aur zindagi ne hamare KHusiyon se kenche bana liye
hamare lahu mein chyunTiyan rengti hain
magar hum apni marzi se khujli tak nahin kar sakte
qatar mein khaDe khaDe hum dusron se muKHtalif kaise ho gae!!!
zindagi mizan hoti to hum us ke palDe apne wajudon se bhar dete
magar kya karen ki hum KHud apni nazron mein bahut be-wazn the
hatheliyon mein suraKH hon to aankhen kahan sambhaalen
hum ne sirf chehre nibhae rishte nahin
pyasi zaminon mein aansu kasht kar ke bhi
bund bhar hariyali nahin khili
hum sari umr apne KHwabon ke jolahe bane rahe
aur apne bachchon ke liye ek saya-dar parcham na bun sake
hamari miTTi mahz miTTi rahi
kabhi watan na ban pai!!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.