hum bure log hain
Interesting Fact
(July, 1977)
tum hī achchhe the kisī se kabhī takrār na kī
tum ki takrār ke ḳhūgar bhī na the
tum hī achchhe the
jo min-jumla-e-arbāb-e-nazar rahte the
shahar-e-pur-hausla meñ
sheva-e-ahal-e-hunar par kabhī tanqīd na kī
itne bebas the ki jab vaqt paḌā
apnī bhī tā.īd na kī
ham bure log haiñ sach kahte haiñ
ham bure log haiñ ḳhush-nūdī-e-arbāb-e-asar ke bāġhī
kabhī qatre ko samundar na likhā
kisī zarre ko bhī sahrā na kahā
qarz-e-ā.īna chukāne ke liye aks se mahrūm hue
aur insāñ se mohabbat kā sila
ik sazā yāfta mujrim kī tarah zinda haiñ
tum hi achchhe the kisi se kabhi takrar na ki
tum ki takrar ke KHugar bhi na the
tum hi achchhe the
jo min-jumla-e-arbab-e-nazar rahte the
shahar-e-pur-hausla mein
shewa-e-ahal-e-hunar par kabhi tanqid na ki
itne bebas the ki jab waqt paDa
apni bhi taid na ki
hum bure log hain sach kahte hain
hum bure log hain KHush-nudi-e-arbab-e-asar ke baghi
kabhi qatre ko samundar na likha
kisi zarre ko bhi sahra na kaha
qarz-e-aina chukane ke liye aks se mahrum hue
aur insan se mohabbat ka sila
ek saza yafta mujrim ki tarah zinda hain
- Book : جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 79)
- Author : سلیم کوثر
- Publication : فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.