hum donon
aaj ham donoñ ne ittifāq se ek jaise ḳhvāb dekhe haiñ
tumhārā ḳhvāb maiñ le letā huuñ merā ḳhvāb tum le lo
aaj ham ne cantēn meñ saath mil kar do pyālī chaa.e banā.ī hai
tumhārī pyālī maiñ le letā huuñ merī pyālī tum le lo
aaj ham ne welcome-bōk-port se ek hī kitāb kī do copiyāñ ḳharīdī haiñ
tumhārī kitāb meñ le letā huuñ merī kitāb tum le lo
aaj ham ne shaam ko kisī vaqt dil hī dil meñ ek duuje ko yaad kiyā hai
tumhārā dil maiñ le letā huuñ merā dil tum le lo
aaj hum donon ne ittifaq se ek jaise KHwab dekhe hain
tumhaara KHwab main le leta hun mera KHwab tum le lo
aaj hum ne canteen mein sath mil kar do pyali chae banai hai
tumhaari pyali main le leta hun meri pyali tum le lo
aaj hum ne welcome-book-port se ek hi kitab ki do copiyan KHaridi hain
tumhaari kitab mein le leta hun meri kitab tum le lo
aaj hum ne sham ko kisi waqt dil hi dil mein ek duje ko yaad kiya hai
tumhaara dil main le leta hun mera dil tum le lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.