hum donon
ham dinoñ ikaTThe rahte haiñ
ikaTThe sote haiñ
hamāre dukh sukh ek haiñ
hamārī āñhkeñ ek dūsre ke ḳhvāb
dekh letī haiñ
ham kahīñ bhī hoñ
ek dūsre ke nāmoñ se jaane jaate haiñ
hamāre ghar aane vaale
apnī dastak meñ donoñ kā naam
shāmil kar lete haiñ
din ke pahle hisse meñ
hamārī āñhkeñ
ek dūsre ko ḳhush-āmdīd kahtī haiñ
ab lafz hamāre darmiyān
chup rahte haiñ
hamārī sāñsoñ kā rhythm
jism kī harakat se
ek dūsre ke hone kā itminān dilātā hai
ham akasr
ab ek dūsre kī niiñd so lete haiñ
lekin
is ke bāvajūd akasr
gahrī rātoñ meñ
hamāre dil
apne apne sīnoñ meñ
alag alag dhaḌakte hue
sunā.ī dete haiñ
hum dinon ikaTThe rahte hain
ikaTThe sote hain
hamare dukh sukh ek hain
hamari aanhken ek dusre ke KHwab
dekh leti hain
hum kahin bhi hon
ek dusre ke namon se jaane jate hain
hamare ghar aane wale
apni dastak mein donon ka nam
shamil kar lete hain
din ke pahle hisse mein
hamari aanhken
ek dusre ko KHush-amdid kahti hain
ab lafz hamare darmiyan
chup rahte hain
hamari sanson ka rhythm
jism ki harakat se
ek dusre ke hone ka itminan dilata hai
hum akasr
ab ek dusre ki nind so lete hain
lekin
is ke bawajud akasr
gahri raaton mein
hamare dil
apne apne sinon mein
alag alag dhaDakte hue
sunai dete hain
- Book : hairat ke us paar (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.