hum ek hain
ek hai apnī zamīñ
ek hai apnā gagan
ek hai apnā jahāñ
ek hai apnā vatan
apne sabhī sukh ek haiñ
apne sabhī ġham ek haiñ
āvāz do ham ek haiñ
ye vaqt khone kā nahīñ
ye vaqt sone kā nahīñ
jaago vatan ḳhatre meñ hai
saarā chaman ḳhatre meñ hai
phūloñ ke chehre zard haiñ
zulfeñ fazā kī gard haiñ
umḌā huā tūfān hai
ghar kī hifāzat farz hai
bedār ho bedār ho
āmāda-e-paikār ho
āvāz do ham ek haiñ
ye hai himāla kī zamīñ
tāj-o-ajantā kī zamīñ
sangam hamārī aan hai
chittor apnī shaan hai
gul-marg kā mahkā chaman
jamunā kā taT gokul kā ban
gangā ke dhāre apne haiñ
ye sab hamāre apne haiñ
kah do koī dushman-nazar
uTThe na bhūle se idhar
kah do ki ham bedār haiñ
kah do ki ham tayyār haiñ
āvāz do ham ek haiñ
uTTho javānān-e-vatan
bāñdhe hue sar se kafan
uTTho dakan kī or se
gang-o-jaman kī or se
punjab ke dil se uTho
satlaj ke sāhil se uTho
bangāl se gujrāt se
kashmīr ke bāġhāt se
nefā se rājasthān se
kul ḳhāk-e-hindostān se
āvāz do ham ek haiñ
ham ek haiñ
ham ek haiñ
ek hai apni zamin
ek hai apna gagan
ek hai apna jahan
ek hai apna watan
apne sabhi sukh ek hain
apne sabhi gham ek hain
aawaz do hum ek hain
ye waqt khone ka nahin
ye waqt sone ka nahin
jago watan KHatre mein hai
sara chaman KHatre mein hai
phulon ke chehre zard hain
zulfen faza ki gard hain
umDa hua tufan hai
ghar ki hifazat farz hai
bedar ho bedar ho
aamada-e-paikar ho
aawaz do hum ek hain
ye hai himala ki zamin
taj-o-ajanta ki zamin
sangam hamari aan hai
chittor apni shan hai
gul-marg ka mahka chaman
jamuna ka taT gokul ka ban
ganga ke dhaare apne hain
ye sab hamare apne hain
kah do koi dushman-nazar
uTThe na bhule se idhar
kah do ki hum bedar hain
kah do ki hum tayyar hain
aawaz do hum ek hain
uTTho jawanan-e-watan
bandhe hue sar se kafan
uTTho dakan ki or se
gang-o-jaman ki or se
punjab ke dil se uTho
satlaj ke sahil se uTho
bangal se gujraat se
kashmir ke baghat se
nefa se rajasthan se
kul KHak-e-hindostan se
aawaz do hum ek hain
hum ek hain
hum ek hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.