hum hain nanhe-munne bachche
dhun ke pakke qaul ke sachche
paḌhnā likhnā kaam hamārā
ik din hogā naam hamārā
bhāshā merī pyārī urdu
urdu sab kī pyārī urdu
urdu hai bhārat kī zīnat
sab ko hai urdu se ulfat
qudrat kā in.aam hai urdu
kitnā pyārā naam hai urdu
urdu se hai raġhbat ham ko
ulfat ham ko chāhat ham ko
urdu ke shaidā.ī haiñ ham
āshiq aur shaidā.ī haiñ ham
urdu merī shaan aur izzat
is se baḌh kar kaun sī ne.amat
aan yahī hai shaan yahī hai
sach pūchho īmān yahī hai
pyārī hai ye jaan se baḌh kar
jaan to kyā īmān se baḌh kar
shāhīñ haiñ ustād hamāre
kitne mushfiq kitne pyāre
urdu kī haiñ sham.a jalā.e
dekho na hargiz bujhne paa.e
āñdhī aa.e tūfāñ aa.e
chāhe jaan bhī apnī jaa.e
aao mil kar ahd kareñ ham
jab tak baaqī dam meñ hai dam
zinda is ko ham rakkheñge
is ko na hargiz miTne deñge
ham haiñ nanhe-munne bachche
dhun ke pakke qaul ke sachche
dhun ke pakke qaul ke sachche
paDhna likhna kaam hamara
ek din hoga nam hamara
bhasha meri pyari urdu
urdu sab ki pyari urdu
urdu hai bhaarat ki zinat
sab ko hai urdu se ulfat
qudrat ka inam hai urdu
kitna pyara nam hai urdu
urdu se hai raghbat hum ko
ulfat hum ko chahat hum ko
urdu ke shaidai hain hum
aashiq aur shaidai hain hum
urdu meri shan aur izzat
is se baDh kar kaun si neamat
aan yahi hai shan yahi hai
sach puchho iman yahi hai
pyari hai ye jaan se baDh kar
jaan to kya iman se baDh kar
shahin hain ustad hamare
kitne mushfiq kitne pyare
urdu ki hain shama jalae
dekho na hargiz bujhne pae
aandhi aae tufan aae
chahe jaan bhi apni jae
aao mil kar ahd karen hum
jab tak baqi dam mein hai dam
zinda is ko hum rakkhenge
is ko na hargiz miTne denge
hum hain nanhe-munne bachche
dhun ke pakke qaul ke sachche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.