hum hind ke shaidai
is des kī vaadī meñ har phuul mahaktā hai
har qaum ke rahbar kā kirdār lahaktā hai
apnā ho ki begāna bulbul sā chahaktā hai
har maz.hab-o-millat ne bhārat meñ amaañ paa.ī
ham hind ke rakhvāle ham hind ke shaidā.ī
ik amn-o-mohabbat kī tafsīr hai ye gulshan
īsār-o-uḳhuvvat kī tasvīr hai ye gulshan
ta.amīr-o-taraqqī kī tanvīr hai ye gulshan
har gosha-e-bhārat hai ḳhud apnā tamāshā.ī
ham hind ke rakhvāle ham hind ke shaidā.ī
har fard ko jiine kā andāz sikhā deñge
kyā shai hai ravādārī duniyā ko dikhā deñge
har nasl ke insāñ ko ham ek banā deñge
sūraj kī kiran ab to bādal se nikal aa.ī
ham hind ke rakhvāle ham hind ke shaidā.ī
is des ki wadi mein har phul mahakta hai
har qaum ke rahbar ka kirdar lahakta hai
apna ho ki begana bulbul sa chahakta hai
har mazhab-o-millat ne bhaarat mein aman pai
hum hind ke rakhwale hum hind ke shaidai
ek amn-o-mohabbat ki tafsir hai ye gulshan
isar-o-uKHuwwat ki taswir hai ye gulshan
tamir-o-taraqqi ki tanwir hai ye gulshan
har gosha-e-bhaarat hai KHud apna tamashai
hum hind ke rakhwale hum hind ke shaidai
har fard ko jine ka andaz sikha denge
kya shai hai rawadari duniya ko dikha denge
har nasl ke insan ko hum ek bana denge
suraj ki kiran ab to baadal se nikal aai
hum hind ke rakhwale hum hind ke shaidai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.