hum intizar mein hain
ye surḳh jang jo barpā huī hai sarhad par
ye tez aag jo phailī hai kohsāroñ meñ
ziyāda roz na chhiḌkegī vādiyoñ meñ lahū
ziyāda der na Thahregī lāla-zāroñ meñ
shikast khā.eñge bād-e-shimāl ke jhoñke
rag-e-numū abhī zinda hai shāḳh-sāroñ meñ
baḌe ġhurūr se aa.e haiñ dushmanān-e-vatan
inheñ bahā do inhī ke lahū ke dhāroñ meñ
jahāñ se qāfila-e-nau-bahār guzregā
charāġh tum ne jalā.e haiñ in dayāroñ meñ
duā.eñ deñge tumhāre badan ke zaḳhmoñ ko
khileñge phuul jo agle baras bahāroñ meñ
fanā-nasīb haiñ dushman ke hausloñ ke mahal
inheñ milā do himāla ke sang-pāroñ meñ
jahāñ se qāfila-e-nau-bahār guzregā
charāġh tum ne jalā.e haiñ un dayāroñ meñ
duā.eñ deñge tumhāre badan ke zaḳhmoñ ko
khileñge phuul jo agle baras bahāroñ meñ
fanā-nasīb haiñ dushman ke hausloñ ke mahal
unheñ milā do himāla ke sang pāroñ meñ
hamārī ruuh kī āvāz hai yaqīn karo
tumhārā naam bhī shāmil ho jāñ-nisāroñ meñ
tumhāre haath meñ sab se buland parcham ho
chaleñ vatan ke sipāhī jahāñ qatāroñ meñ
tumhāre hoñToñ pe naġhme hoñ kāmrānī ke
tumhāre paañv kī miTTī uḌe sitāroñ meñ
hamārī fikr na karnā ki ham udaas nahīñ
vatan ke naam pe jī leñge ḳhārzāroñ meñ
ḳhizāñ ke zaḳhm se do din lahū Tapaktā hai
phir us kī yaad bhī aatī nahīñ bahāroñ meñ
dam-e-vidā.a jo pal-bhar ko dil meñ jaagā thā
vo dard Duub gayā āñsūoñ kī dhāroñ meñ
vo is hasīn judā.ī kā lutf kyā jāneñ
hameñ jo log samajhte haiñ sogvāroñ meñ
ham apne ghar meñ akele haiñ aur nahīñ bhī haiñ
tumhārī yaad kī ḳhushbū hai ġham-gusāroñ meñ
tumheñ qasam jo mohabbat kī aag yaad aa.e
himālya ke saman-posh barf zāroñ meñ
tumheñ qasam jo hamārā suhāg yaad aa.e
mahāz-e-jang pe talvār ke hisāroñ meñ
kab aa rahe ho likho fat.h kā nishāñ le kar
ham intizār meñ haiñ nazr-e-jism-o-jāñ le kar
ye surKH jang jo barpa hui hai sarhad par
ye tez aag jo phaili hai kohsaron mein
ziyaada roz na chhiDkegi wadiyon mein lahu
ziyaada der na Thahregi lala-zaron mein
shikast khaenge baad-e-shimal ke jhonke
rag-e-numu abhi zinda hai shaKH-saron mein
baDe ghurur se aae hain dushmanan-e-watan
inhen baha do inhi ke lahu ke dhaaron mein
jahan se qafila-e-nau-bahaar guzrega
charagh tum ne jalae hain in dayaron mein
duaen denge tumhaare badan ke zaKHmon ko
khilenge phul jo agle baras bahaaron mein
fana-nasib hain dushman ke hauslon ke mahal
inhen mila do himala ke sang-paron mein
jahan se qafila-e-nau-bahaar guzrega
charagh tum ne jalae hain un dayaron mein
duaen denge tumhaare badan ke zaKHmon ko
khilenge phul jo agle baras bahaaron mein
fana-nasib hain dushman ke hauslon ke mahal
unhen mila do himala ke sang paron mein
hamari ruh ki aawaz hai yaqin karo
tumhaara nam bhi shamil ho jaan-nisaron mein
tumhaare hath mein sab se buland parcham ho
chalen watan ke sipahi jahan qataron mein
tumhaare honTon pe naghme hon kaamrani ke
tumhaare panw ki miTTi uDe sitaron mein
hamari fikr na karna ki hum udas nahin
watan ke nam pe ji lenge KHarzaron mein
KHizan ke zaKHm se do din lahu Tapakta hai
phir us ki yaad bhi aati nahin bahaaron mein
dam-e-widaa jo pal-bhar ko dil mein jaga tha
wo dard Dub gaya aansuon ki dhaaron mein
wo is hasin judai ka lutf kya jaanen
hamein jo log samajhte hain sogwaron mein
hum apne ghar mein akele hain aur nahin bhi hain
tumhaari yaad ki KHushbu hai gham-gusaron mein
tumhein qasam jo mohabbat ki aag yaad aae
himalya ke saman-posh barf zaron mein
tumhein qasam jo hamara suhag yaad aae
mahaz-e-jang pe talwar ke hisaron mein
kab aa rahe ho likho fath ka nishan le kar
hum intizar mein hain nazr-e-jism-o-jaan le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.