hum itni jaldi mein the
galī meñ gahrā añdherā thā
añdhere kī lāThī ko thāme hue
chor qadmoñ se ham ne apnī raah lī thī
ham itnī jaldī meñ the
ki apne paañv ke nishān to brief-casoñ meñ bhar liye
magar paañv vahīñ chhoḌ diye
abbū ne apnī ainak bakse meñ rakh lī
āñkheñ mez kī darāz hī meñ chhoḌ aa.e
ammāñ ne imām-e-zāmin mere baazū meñ bāñdhā
aur jaldī meñ mere baazū galī ke nukkaḌ par hī chhūT ga.e
train abhī platform par hī lagtī thī
log ek dūsre ko rauñdte hue bhāge jā rahe the
ki sab ke sab jaldī meñ the
ham itnī jaldī meñ the
aur jaldī meñ aksar aisā hotā hai
musalle hamāre saath the
aur namāzeñ vahīñ bhuul ga.e
tāqoñ meñ dharī kī dharī rah ga.iiñ
duā.eñ agar-battiyāñ aur lobān
biivī nīñdeñ rakhnā bhuul ga.ī thī
gumā diye the us ne saare ḳhvāb
aur le aa.ī thī apne saath hairat-zada sunsān āñkheñ
ham itnī jaldī meñ the
ki hamāre sandūq dūsroñ ke sandūq se badal ga.e
jin meñ thiiñ zillateñ hijrateñ dard kī Thokareñ
aur lambe hote hue ḳhauf ke dev
chalte chalte
kisī ne ek gaThrī thamā dī thī
gaThrī kyā thī ek amānat thī
bhāgte aur sañbhālte hue hamāre saroñ se gir paḌī
aur us se bāhar nikal aa.iiñ
chīḳheñ bhuuk bachchoñ kī yatīmī kaTī phaTī ismateñ
ek paḌosī jo is dauḌ meñ hamāre saath hī thā
apnī hañsī ek dhūl-bhare bistar meñ chhoḌ aayā
jaise ham apnī muskurāhaTeñ bhuul aa.e the
gali mein gahra andhera tha
andhere ki laThi ko thame hue
chor qadmon se hum ne apni rah li thi
hum itni jaldi mein the
ki apne panw ke nishan to brief-cason mein bhar liye
magar panw wahin chhoD diye
abbu ne apni ainak bakse mein rakh li
aankhen mez ki daraaz hi mein chhoD aae
amman ne imam-e-zamin mere bazu mein bandha
aur jaldi mein mere bazu gali ke nukkaD par hi chhuT gae
train abhi platform par hi lagti thi
log ek dusre ko raundte hue bhage ja rahe the
ki sab ke sab jaldi mein the
hum itni jaldi mein the
aur jaldi mein aksar aisa hota hai
musalle hamare sath the
aur namazen wahin bhul gae
taqon mein dhari ki dhari rah gain
duaen agar-battiyan aur loban
biwi ninden rakhna bhul gai thi
guma diye the us ne sare KHwab
aur le aai thi apne sath hairat-zada sunsan aankhen
hum itni jaldi mein the
ki hamare sanduq dusron ke sanduq se badal gae
jin mein thin zillaten hijraten dard ki Thokaren
aur lambe hote hue KHauf ke dew
chalte chalte
kisi ne ek gaThri thama di thi
gaThri kya thi ek amanat thi
bhagte aur sanbhaalte hue hamare saron se gir paDi
aur us se bahar nikal aain
chiKHen bhuk bachchon ki yatimi kaTi phaTi ismaten
ek paDosi jo is dauD mein hamare sath hi tha
apni hansi ek dhul-bhare bistar mein chhoD aaya
jaise hum apni muskurahaTen bhul aae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.