hum izafi miTTi se bane
raushnī qatl huī
to jism ḳhālī ho ga.e
zindagī kā ġhubār hī hamārā hāsil hai
ham ne parā.e-gharoñ kī rāj-gīrī kī
aur apnī chhat ke ḳhvāb dekhe
hameñ kab mālūm thā
soī dukānoñ kī sīḌhiyāñ hamārā takiya haiñ
hamāre naam izāfī miTTī par likhe ga.e
aur ham faqat logoñ ko dohrāte rahe
ham be-ehtiyāt lamhoñ kā qisās nahīñ the
ham halāl ke the
magar beghar paidā hue
raushni qatl hui
to jism KHali ho gae
zindagi ka ghubar hi hamara hasil hai
hum ne parae-gharon ki raj-giri ki
aur apni chhat ke KHwab dekhe
hamein kab malum tha
soi dukanon ki siDhiyan hamara takiya hain
hamare nam izafi miTTi par likhe gae
aur hum faqat logon ko dohraate rahe
hum be-ehtiyat lamhon ka qisas nahin the
hum halal ke the
magar beghar paida hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.