hum KHwab-zada
ham ḳhvāb-zada
piile mausam ke añgāroñ se jale hue
palkoñ meñ rañg-birañge ḳhāke bhare hue
sāñsoñ ko roke hue
musalsal ḳhvābīda haiñ
dekh rahe haiñ ḳhud ko jañgal aur pahāḌoñ ke shānoñ par uḌte hue
aag ugalte jharnoñ kī bāñhoñ meñ naġhme gaate hue
ḳhush-paikar rū-posh parindoñ ke ham-rāh fazā kī vus.at ko larzīda karte hue
sayyāroñ aur kahkashāoñ kī duniyā se bhī kuchh aage baḌhte hue
niile sāgar ke gahre siine meñ parbat kī choTī par mūñge kī gul-rañg chaTTānoñ par
lahroñ se laḌte hue
ham ḳhvāb-zada piile mausam ke añgāroñ se jale hue
jiine kī ḳhvāhish meñ aise lamhe roz churā lete haiñ
ḳhud se ḳhud kā karb isī tevar se roz chhupā lete haiñ
āñkheñ kyā khultī haiñ pāgal bārah-singhoñ ke hamloñ se
ḳhud ko ghirā huā paate haiñ
ham himmat ke dhanī khaḌe to ho jaate haiñ
lekin ik ifrīt hamāre pairoñ ko yuuñ kas letā hai
ham behis aur be-dast-o-pā ho jaate haiñ
ḳhvāboñ kī vaadī meñ pahuñch kar
ḳhaak samundar aur ḳhalā ke
sab rañgoñ se haath milā ke hañs paḌte haiñ
palkoñ ke sad-rañg tilismoñ kī bāhoñ meñ āḳhir kab tak
ham sāñso ko bahlā.eñge
lamhoñ ke is jabr-e-musalsal se ḳhud ko kab rihā kareñge
ham ḳhvāb-zada piile mausam ke añgāroñ se jale hue
hum KHwab-zada
pile mausam ke angaron se jale hue
palkon mein rang-birange KHake bhare hue
sanson ko roke hue
musalsal KHwabida hain
dekh rahe hain KHud ko jangal aur pahaDon ke shanon par uDte hue
aag ugalte jharnon ki banhon mein naghme gate hue
KHush-paikar ru-posh parindon ke ham-rah faza ki wusat ko larzida karte hue
sayyaron aur kahkashaon ki duniya se bhi kuchh aage baDhte hue
nile sagar ke gahre sine mein parbat ki choTi par munge ki gul-rang chaTTanon par
lahron se laDte hue
hum KHwab-zada pile mausam ke angaron se jale hue
jine ki KHwahish mein aise lamhe roz chura lete hain
KHud se KHud ka karb isi tewar se roz chhupa lete hain
aankhen kya khulti hain pagal barah-singhon ke hamlon se
KHud ko ghira hua pate hain
hum himmat ke dhani khaDe to ho jate hain
lekin ek ifrit hamare pairon ko yun kas leta hai
hum behis aur be-dast-o-pa ho jate hain
KHwabon ki wadi mein pahunch kar
KHak samundar aur KHala ke
sab rangon se hath mila ke hans paDte hain
palkon ke sad-rang tilismon ki bahon mein aaKHir kab tak
hum sanso ko bahlaenge
lamhon ke is jabr-e-musalsal se KHud ko kab riha karenge
hum KHwab-zada pile mausam ke angaron se jale hue
- Book : doob (Pg. 124)
- Author : amber bahraichii
- Publication : danish mahal aminabad lucknow (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.