hum ko aagahi na do
ham jaise jī rahe haiñ
ham ko vaise jiine do
ye jo āgahī ke dukh hote haiñ
vo ruuh ko zaḳhmī kar dete haiñ
aur ab tak sirf jismoñ ke ilaaj kī research huī hai
aur vo research bhī kyā
ki doctors ek maraz durust kar ke
dūsrā maraz ugā dete haiñ
ye jo āgahī hai
ye to nāsūr se bhī bad-tar hai
ye to hañste baste insān ko
rulā detī hai
ujaaḌ detī hai
ye jo añdherā hai nā jahālat kā
vo fil-vaqt kitnā sukūn-baḳhsh hai
bachpan ke khilaunoñ se jī bahlāne jaisā
ye jo duniyā hai nā
is ke kyā kyā azaab haiñ
kahāñ kahāñ jañgeñ ho rahī haiñ
aur us ke muharrikāt kyā kyā haiñ
insān hī insān ko maar rahe haiñ
ye jo kā.enāt hai nā
is meñ kitnā paanī bachā hai
kitnī oxigen baaqī hai
kitne sayyāre ḳhalāoñ meñ zamīn ko khāne ke liye ghuum rahe haiñ
ye jo āgahī hai nā
ye to jīte-jī maar rahī hai
ab ham jiite kab haiñ
ham to jiine ke liye falsafe bante rahte haiñ
ham to jiine ke liye sayyāre DhūñDte rahte haiñ
ham to jiine kī adākārī karte haiñ
ham ko āgahī na do
hum jaise ji rahe hain
hum ko waise jine do
ye jo aagahi ke dukh hote hain
wo ruh ko zaKHmi kar dete hain
aur ab tak sirf jismon ke ilaj ki research hui hai
aur wo research bhi kya
ki doctors ek maraz durust kar ke
dusra maraz uga dete hain
ye jo aagahi hai
ye to nasur se bhi bad-tar hai
ye to hanste baste insan ko
rula deti hai
ujaD deti hai
ye jo andhera hai na jahaalat ka
wo fil-waqt kitna sukun-baKHsh hai
bachpan ke khilaunon se ji bahlane jaisa
ye jo duniya hai na
is ke kya kya azab hain
kahan kahan jangen ho rahi hain
aur us ke muharrikat kya kya hain
insan hi insan ko mar rahe hain
ye jo kaenat hai na
is mein kitna pani bacha hai
kitni oxigen baqi hai
kitne sayyare KHalaon mein zamin ko khane ke liye ghum rahe hain
ye jo aagahi hai na
ye to jite-ji mar rahi hai
ab hum jite kab hain
hum to jine ke liye falsafe bante rahte hain
hum to jine ke liye sayyare DhunDte rahte hain
hum to jine ki adakari karte hain
hum ko aagahi na do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.