hum ko malum hai jannat ki haqiqat lekin
husn-e-mah garche ba-hañgām-e-kamāl achchhā hai
us se mahbūb mirā achchhā bahut achchhā hai
bosa detā nahīñ par dil meñ chhupā jaatā hai
paas rakhtā huuñ maiñ ik jām-e-sifāl har lamha
sāġhar-e-jam se to behtar hai
bāzār meñ mil jaatā hai
mirā mahbūb jab aatā hai mire ghar
dekhne tabī.at merī
us ke dekhan se jo aa jaatī hai
chehre pe ramaq
vo samajhtā hai ki bīmārī bahāna hai mirā
dekhnā hai ki ushshāq butoñ se mil ke
faiz pā.eñge yā la.anat ke sivā
aur nahīñ kuchh
qatra dariyā meñ jo mil jaa.e
to dariyā ho jaa.e
maiñ bhī qatra huuñ
to ye dekhūñ ki dariyā kyā hai
us meñ aatī to nazar hai mujhe apnī jhalak
maiñ huuñ dozaḳh meñ yā barzaḳh meñ
kahāñ aur kahāñ
ham ko ma.alūm hai jannat kī haqīqat lekin
dil ke bahlāne ko 'ġhālib' ye ḳhayāl achchhā hai
husn-e-mah garche ba-hangam-e-kamal achchha hai
us se mahbub mera achchha bahut achchha hai
bosa deta nahin par dil mein chhupa jata hai
pas rakhta hun main ek jam-e-sifal har lamha
saghar-e-jam se to behtar hai
bazar mein mil jata hai
mera mahbub jab aata hai mere ghar
dekhne tabiat meri
us ke dekhan se jo aa jati hai
chehre pe ramaq
wo samajhta hai ki bimari bahana hai mera
dekhna hai ki ushshaq buton se mil ke
faiz paenge ya lanat ke siwa
aur nahin kuchh
qatra dariya mein jo mil jae
to dariya ho jae
main bhi qatra hun
to ye dekhun ki dariya kya hai
us mein aati to nazar hai mujhe apni jhalak
main hun dozaKH mein ya barzaKH mein
kahan aur kahan
hum ko malum hai jannat ki haqiqat lekin
dil ke bahlane ko 'ghaalib' ye KHayal achchha hai
- Book : Banam-e-Ghalib (Pg. 67)
- Author : Salahuddin Parvez
- Publication : Educational Publishing House, Aligrah (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.