hum kyun likhte hain?
zehn kī zamīnoñ meñ jaḌeñ phailātā ye savāl
ki ham kyuuñ likhte haiñ...?
be-kār meñ apne vaqt kī daulat luTā kar
taḳhlīqī karb ke na.e zā.ichoñ meñ
ḳhud ko kyuuñ qaid karte haiñ...?
maiñ sochtā huuñ...
ki adālat meñ jab mujrim pesh hotā hai
ye jānte hue bhī ki vahī mujrim hai
us kā bayān kyuuñ likhā jaatā haiñ...?
gavāhoñ kī shahādat kyuuñ tahrīr kī jaatī hai...?
magar steno se koī nahīñ pūchhtā
ki tum ye sab kyuuñ likhte ho...?
shāyad is liye ki sab jānte haiñ...
in bayānāt ke andar hī
mujrim kī sazā-jazā ke sabhī naqshe tartīb paate haiñ
ham is liye likhte haiñ...
ki vīrāniyoñ kī bārish meñ
jazbe jab diloñ se hijrat kar jaate haiñ
jab surḳh chehre vaale jismoñ ke andar kahīñ
safed bārish hone lagtī hai
jab ūñchī dīvāroñ ke biich
kisī kuTiyā meñ chupke se
roz an-ginat ḳhvāhisheñ dafnā.ī jaatī haiñ
aur kitne hī lāġhar badanoñ ke andar
bhuuk chhup kar unheñ khātī rahtī hai
jab chīḳhoñ ke hazāroñ lashkar
āñganoñ par chaḌhā.ī karte haiñ
to vaqt udāsī ke sahīfe liye
in hādsoñ kā chashm-dīd gavāh ban kar
ahl-e-qalam ke paas apnī gavāhī likhvāne aatā hai
ham vaqt kī sachchī shahādat likh kar
ma.āshre kī sazā-jazā ke
rāstoñ kī nishān-dahī karte haiñ
magar hairān huuñ...
phir bhī pūchhā jaatā hai
ki ham kyuuñ likhte haiñ...
zehn ki zaminon mein jaDen phailata ye sawal
ki hum kyun likhte hain?
be-kar mein apne waqt ki daulat luTa kar
taKHliqi karb ke nae zaichon mein
KHud ko kyun qaid karte hain?
main sochta hun
ki adalat mein jab mujrim pesh hota hai
ye jaante hue bhi ki wahi mujrim hai
us ka bayan kyun likha jata hain?
gawahon ki shahadat kyun tahrir ki jati hai?
magar steno se koi nahin puchhta
ki tum ye sab kyun likhte ho?
shayad is liye ki sab jaante hain
in bayanat ke andar hi
mujrim ki saza-jaza ke sabhi naqshe tartib pate hain
hum is liye likhte hain
ki viraniyon ki barish mein
jazbe jab dilon se hijrat kar jate hain
jab surKH chehre wale jismon ke andar kahin
safed barish hone lagti hai
jab unchi diwaron ke bich
kisi kuTiya mein chupke se
roz an-ginat KHwahishen dafnai jati hain
aur kitne hi laghar badanon ke andar
bhuk chhup kar unhen khati rahti hai
jab chiKHon ke hazaron lashkar
aanganon par chaDhai karte hain
to waqt udasi ke sahife liye
in hadson ka chashm-did gawah ban kar
ahl-e-qalam ke pas apni gawahi likhwane aata hai
hum waqt ki sachchi shahadat likh kar
maashre ki saza-jaza ke
raston ki nishan-dahi karte hain
magar hairan hun
phir bhi puchha jata hai
ki hum kyun likhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.