hum log
ham log añdheroñ ke aadī
ham log saveroñ se ḳhā.if
ham apnā dard samajhte haiñ
logoñ ke dard se kab vāqif
is zulm kī maarī dhartī meñ
dukh dard kī fasleñ ugtī haiñ
bīmār fazāoñ meñ har sū
dukh dard kī nasleñ paltī haiñ
lekin ūñche aivānoñ meñ
in rang bhare kāshānoñ meñ
ik aur hī ḳhilqat paltī hai
jo apnī zaat meñ rahtī hai
jo ḳhuun sabhī kā piitī hai
aur patthar ban kar jiitī hai
hum log andheron ke aadi
hum log saweron se KHaif
hum apna dard samajhte hain
logon ke dard se kab waqif
is zulm ki mari dharti mein
dukh dard ki faslen ugti hain
bimar fazaon mein har su
dukh dard ki naslen palti hain
lekin unche aiwanon mein
in rang bhare kashanon mein
ek aur hi KHilqat palti hai
jo apni zat mein rahti hai
jo KHun sabhi ka piti hai
aur patthar ban kar jiti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.