hum log
aao us yaad ko siine se lagā kar so jaa.eñ
aao socheñ ki bas ik ham hī nahīñ tīrah-nasīb
apne aise ka.ī āshufta-jigar aur bhī haiñ
ek be-nām thakan ek pur-asrār kasak
dil pe vo bojh ki bhūle se bhī pūchhe jo koī
aañkh se jaltī huī ruuh kā laavā bah jaa.e
chārasāzī ke har andāz kā gahrā nashtar
ġham-gusārī kī rivāyāt meñ uljhe hue zaḳhm
dardmandī kī ḳharāsheñ jo miTā.e na miTeñ
apne aise ka.ī āshufta-jigar aur bhī haiñ
lekin ai vaqt vo sāhib-nazrāñ kaise haiñ
koī us des kā mil jaa.e to itnā pūchheñ
āj-kal apne masīhā-nafsāñ kaise haiñ
āñdhiyāñ to ye sunā hai ki udhar bhī aa.iiñ
koñpleñ kaisī haiñ shīshoñ ke makāñ kaise haiñ
aao us yaad ko sine se laga kar so jaen
aao sochen ki bas ek hum hi nahin tirah-nasib
apne aise kai aashufta-jigar aur bhi hain
ek be-nam thakan ek pur-asrar kasak
dil pe wo bojh ki bhule se bhi puchhe jo koi
aankh se jalti hui ruh ka lawa bah jae
chaarasazi ke har andaz ka gahra nashtar
gham-gusari ki riwayat mein uljhe hue zaKHm
dardmandi ki KHarashen jo miTae na miTen
apne aise kai aashufta-jigar aur bhi hain
lekin ai waqt wo sahib-nazran kaise hain
koi us des ka mil jae to itna puchhen
aaj-kal apne masiha-nafsan kaise hain
aandhiyan to ye suna hai ki udhar bhi aain
konplen kaisi hain shishon ke makan kaise hain
- Book : kulliyat-e-mustafa zaidii(roshnii) (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.