humne KHwahishon ke sare parinde uDa diye hain
shurūa shurūa meñ achambhe achchhe lagte the
shauq bhī thā aur din bhī bhale the
achchhe logoñ se milne kā shauq junūn kī had tak
har lamha betāb liye phirtā thā
jab koī apnā hero
apne ādarsh kā paikar sāmne aatā
jī ye chāhtā
āñkheñ bichhā.eñ dil meñ biThā.eñ
bāteñ suneñ itnī bāteñ
sail-e-zamāñ se ūñchī bāteñ
dil ke gahre ġham kī bāteñ
duurī aur nazdīkī
lafz bahut chhoTe haiñ
un lafzoñ ko parkho to
insān aur bhī chhoTe nikalte haiñ
paas bulā kar jise dekho
us kā chehra faq be-rañg
bhabhūt kī sūrat kaalā kaalā
kyā sūraj bahut nīche aa gayā hai
kyā maaoñ ne bachche jan kar
duudh pilānā chhoḌ diyā hai
goliyāñ khā ke duudh ke sote
ḳhushk karne vaalī maaoñ
plastic ke bags meñ rāt-rāt-bhar
bachchoñ kā peshāb jazb karne vaalī maaoñ
niiñd tumhārī bahut mīThī hai
Thiik hai tum bhī bebas ho
mard gharoñ se ġhā.eb hoñ to
maañ kī māmtā bilak bilak kar
niiñd kī golī ke āñgan meñ so hī jaayā kartī hai
ḳhvāb-āvar golī
ye bhī to aaj kī aham zarūrat hai
masnūī palkeñ āñkhoñ se utaar ke
aslī chehra mat dekho
goliyāñ khaao so jaao ārām karo
sub.h tumhāre sar ke uupar sūraj kī
aur bhī garm shuā.eñ raqs kareñgī
achchhe log sub.h ko kuchh aur shaam ko kuchh
aur raat ko un ke ḳhuun kī tuġhyānī meñ
un ke haath aur un kī āñkheñ
bilkul jañgalī chūhe jaisī ma.alūm hoñ
pahle-pahal ye achambhā thā
ḳhauf kī tah meñ anjāne ko jānñe kī ḳhvāhish
makḌī ke jaale kī mānind phailī
pahle-pahal pistānoñ meñ dard kī Tīseñ bahut uThīñ
phir yaad nahīñ
masnūī palkeñ itnī lambī haiñ
maiñ apne pair ke naqsh ke aage dekh nahīñ saktī huuñ
kahte haiñ ki havā chalī hai
khep na.e logoñ kī
jin ko achchhā kahne vaale saath saath haiñ
pahuñch ga.e haiñ shahr kināre
sūraj ab to itnā nīche aa pahuñchā hai
us ko uThā ke duur kisī kone meñ dafan karo
raat kī chādar oḌhne se pahchān kā rishta
shukr ḳhudāyā TuuT to jaatā hai
ai rab tū vālī-e-kaun-o-makāñ
tū sab ke diloñ ke haal se vāqif hai
to ham ko batā ham kyā socheñ
ham ne ḳhvāhishoñ ke saare parinde uḌā diye haiñ
shurua shurua mein achambhe achchhe lagte the
shauq bhi tha aur din bhi bhale the
achchhe logon se milne ka shauq junun ki had tak
har lamha betab liye phirta tha
jab koi apna hero
apne aadarsh ka paikar samne aata
ji ye chahta
aankhen bichhaen dil mein biThaen
baaten sunen itni baaten
sail-e-zaman se unchi baaten
dil ke gahre gham ki baaten
duri aur nazdiki
lafz bahut chhoTe hain
un lafzon ko parkho to
insan aur bhi chhoTe nikalte hain
pas bula kar jise dekho
us ka chehra faq be-rang
bhabhut ki surat kala kala
kya suraj bahut niche aa gaya hai
kya maon ne bachche jan kar
dudh pilana chhoD diya hai
goliyan kha ke dudh ke sote
KHushk karne wali maon
plastic ke bags mein raat-raat-bhar
bachchon ka peshab jazb karne wali maon
nind tumhaari bahut miThi hai
Thik hai tum bhi bebas ho
mard gharon se ghaeb hon to
man ki mamta bilak bilak kar
nind ki goli ke aangan mein so hi jaya karti hai
KHwab-awar goli
ye bhi to aaj ki aham zarurat hai
masnui palken aankhon se utar ke
asli chehra mat dekho
goliyan khao so jao aaram karo
subh tumhaare sar ke upar suraj ki
aur bhi garm shuaen raqs karengi
achchhe log subh ko kuchh aur sham ko kuchh
aur raat ko un ke KHun ki tughyani mein
un ke hath aur un ki aankhen
bilkul jangali chuhe jaisi malum hon
pahle-pahal ye achambha tha
KHauf ki tah mein anjaane ko jaanne ki KHwahish
makDi ke jale ki manind phaili
pahle-pahal pistanon mein dard ki Tisen bahut uThin
phir yaad nahin
masnui palken itni lambi hain
main apne pair ke naqsh ke aage dekh nahin sakti hun
kahte hain ki hawa chali hai
khep nae logon ki
jin ko achchha kahne wale sath sath hain
pahunch gae hain shahr kinare
suraj ab to itna niche aa pahuncha hai
us ko uTha ke dur kisi kone mein dafan karo
raat ki chadar oDhne se pahchan ka rishta
shukr KHudaya TuT to jata hai
ai rab tu wali-e-kaun-o-makan
tu sab ke dilon ke haal se waqif hai
to hum ko bata hum kya sochen
hum ne KHwahishon ke sare parinde uDa diye hain
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 395)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.