ham-sae ke nam
kuchh tum ne kahā
kuchh maiñ ne kahā
aur baḌhte baḌhte baat baḌhī
dil uub gayā
dil Duub gayā
aur gahrī kaalī raat baḌhī
tum apne ghar
maiñ apne ghar
saare darvāze band kiye
baiThe haiñ kaḌve ghūñT piye
oḌhe haiñ ġhusse kī chādar
kuchh tum socho
kuchh maiñ sochūñ
kyuuñ ūñchī haiñ ye dīvāreñ
kab tak ham in par sar māreñ
kab tak ye añdhere rahne haiñ
kiina ke ye ghere rahne haiñ
chalo apne darvāze kholeñ
aur ghar ke bāhar aa.eñ ham
dil Thahre jahāñ haiñ barsoñ se
vo ik nukkaḌ hai nafrat kā
kab tak is nukkaḌ par Thahreñ
ab is ke aage jaa.eñ ham
bas thoḌī duur ik dariyā hai
jahāñ ek ujālā bahtā hai
vaañ lahroñ lahroñ haiñ kirneñ
aur kirnoñ kirnoñ haiñ lahreñ
in kirnoñ meñ
in lahroñ meñ
ham dil ko ḳhuub nahāne deñ
sīnoñ meñ jo ik patthar hai
us patthar ko ghul jaane deñ
dil ke ik kone meñ bhī chhupī
gar thoḌī sī bhī nafrat hai
is nafrat ko dhul jaane deñ
donoñ kī taraf se jis din bhī
iz.hār nadāmat kā hogā
tab jashn mohabbat kā hogā
kuchh tum ne kaha
kuchh main ne kaha
aur baDhte baDhte baat baDhi
dil ub gaya
dil Dub gaya
aur gahri kali raat baDhi
tum apne ghar
main apne ghar
sare darwaze band kiye
baiThe hain kaDwe ghunT piye
oDhe hain ghusse ki chadar
kuchh tum socho
kuchh main sochun
kyun unchi hain ye diwaren
kab tak hum in par sar maren
kab tak ye andhere rahne hain
kina ke ye ghere rahne hain
chalo apne darwaze kholen
aur ghar ke bahar aaen hum
dil Thahre jahan hain barson se
wo ek nukkaD hai nafrat ka
kab tak is nukkaD par Thahren
ab is ke aage jaen hum
bas thoDi dur ek dariya hai
jahan ek ujala bahta hai
wan lahron lahron hain kirnen
aur kirnon kirnon hain lahren
in kirnon mein
in lahron mein
hum dil ko KHub nahane den
sinon mein jo ek patthar hai
us patthar ko ghul jaane den
dil ke ek kone mein bhi chhupi
gar thoDi si bhi nafrat hai
is nafrat ko dhul jaane den
donon ki taraf se jis din bhi
izhaar nadamat ka hoga
tab jashn mohabbat ka hoga
- Book : LAVA (Pg. 137)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Rajkamal Parakashan Pvt. Ltd (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.