hum taswir khench rahe hain
jalte hue makānoñ kī
ham tasvīr utaar rahe haiñ
un kī jo jāneñ bachā bachā kar bhaag rahe haiñ
ham intihā.ī sanjīdgī kī shakloñ meñ jo hamāre chehroñ ko
rulāne ke ban rahī thiiñ
apne muñh bigāḌ bigāḌ kar un logoñ ko dekh rahe haiñ
jo khiḌkiyoñ aur darvāzoñ se apnī jānoñ ko bachāne ke dhoke meñ
maut se gudum paTaḳhne kar rahe haiñ
ye tasvīreñ aḳhbāroñ kī zīnat ban rahī haiñ
T-V un par udaas lafzoñ kī bhar-mār kar rahe haiñ
lekin ye sab jalte hue dhueñ ke bujhne ke saath chup ho jā.egā
aur merā dil jo nā-munāsib vaqt meñ jhulasne ke liye har vaqt tayyār rahtā hai
abhī tak koī camera ījād nahīñ huā
jo is ke jhulasne kī munāsib tasvīr utaar sake
jalte hue makanon ki
hum taswir utar rahe hain
un ki jo jaanen bacha bacha kar bhag rahe hain
hum intihai sanjidgi ki shaklon mein jo hamare chehron ko
rulane ke ban rahi thin
apne munh bigaD bigaD kar un logon ko dekh rahe hain
jo khiDkiyon aur darwazon se apni jaanon ko bachane ke dhoke mein
maut se gudum paTaKHne kar rahe hain
ye taswiren aKHbaron ki zinat ban rahi hain
T-V un par udas lafzon ki bhar-mar kar rahe hain
lekin ye sab jalte hue dhuen ke bujhne ke sath chup ho jaega
aur mera dil jo na-munasib waqt mein jhulasne ke liye har waqt tayyar rahta hai
abhi tak koi camera ijad nahin hua
jo is ke jhulasne ki munasib taswir utar sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.