hum teri takzib kar sakte nahin
ai zamāne
ham tirī takzīb kar sakte nahīñ
tū ne haTā.e parda-hā-e-ḳhushnumā
vo jin ke pīchhe chhup ke baiThī
zindagī pahchān bhī paate to kaise
ai zamāne
ham tirī takzīb kar sakte nahīñ
kāñToñ pe tū ne jab ghasīTā to
subuk phūloñ meñ talne kī
kitābī ḳhvāhishoñ se jaan chhūTī
ai zamāne tū ne ham ko
tajraba-e-gāh-e-nafī meñ
lā ke pheñkā to
tabāh zaat kī
aslī guzargāhoñ kā nazāra milā
ai zamāne ham ko batlāyā hai tū ne
dūsroñ ke paañv meñ rahne
paḌe rahne se
vo jā āstāna dil kā ban saktī nahīñ
man kī murādeñ bar to aatī haiñ
magar apne hī dar ko khaTkhaTāne se
lagan ko āzmāne se
zamāne ham tirī
ai zamane
hum teri takzib kar sakte nahin
tu ne haTae parda-ha-e-KHushnuma
wo jin ke pichhe chhup ke baiThi
zindagi pahchan bhi pate to kaise
ai zamane
hum teri takzib kar sakte nahin
kanTon pe tu ne jab ghasiTa to
subuk phulon mein talne ki
kitabi KHwahishon se jaan chhuTi
ai zamane tu ne hum ko
tajraba-e-gah-e-nafi mein
la ke phenka to
tabah zat ki
asli guzargahon ka nazara mila
ai zamane hum ko batlaya hai tu ne
dusron ke panw mein rahne
paDe rahne se
wo ja aastana dil ka ban sakti nahin
man ki muraden bar to aati hain
magar apne hi dar ko khaTkhaTane se
lagan ko aazmane se
zamane hum teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.