hum to shair hain hum sach nahin bolte
ham to shā.ir haiñ ham sach nahīñ bolte
jān-e-jāñ sach pe kyoñ itnā isrār hai
sach kī azmat se kab ham ko inkār hai
ham bhī shā.ir haiñ āḳhir usī qaum ke
jis kā har fard bikne pe tayyār hai
ham haiñ lafzoñ ke tājir ye bāzār hai
sach to ye hai guzarte hue vaqt se
fā.eda jo uThā le vo fankār hai
ham na suqrāt haiñ ham na mansūr haiñ
ham se sach kī tavaqqo.a hī be-kār hai
tez talvār sī vaqt kī dhaar hai
is liye jān-e-jāñ apnī tahrīr se
ḳhauf-e-ta.azīr se
sachche motī kabhī ham nahīñ rolte
ham to shā.ir haiñ ham sach nahīñ bolte
fasl aatī hai jab hifz-e-pindār kī
sach ke iz.hār kī
ham haqā.eq se nazreñ churā.e hue
maslahat ke janāze uThā.e hue
sar jhukā.e hue
lauT jaate haiñ maazī ke sahrāoñ meñ
baiTh kar phir ġham-e-zāt kī chhāñv meñ
sochte bhī nahīñ bolte bhī nahīñ
sahme sahme hue log milte hoñ jab
har taraf zaḳhm ke phuul khilte hoñ jab
jān-e-jāñ kam se kam aise mausam meñ ham
harf-e-haq to kujā lab nahīñ kholte
ham to shā.ir haiñ ham sach nahīñ bolte
hum to shair hain hum sach nahin bolte
jaan-e-jaan sach pe kyon itna israr hai
sach ki azmat se kab hum ko inkar hai
hum bhi shair hain aaKHir usi qaum ke
jis ka har fard bikne pe tayyar hai
hum hain lafzon ke tajir ye bazar hai
sach to ye hai guzarte hue waqt se
faeda jo uTha le wo fankar hai
hum na suqraat hain hum na mansur hain
hum se sach ki tawaqqoa hi be-kar hai
tez talwar si waqt ki dhaar hai
is liye jaan-e-jaan apni tahrir se
KHauf-e-tazir se
sachche moti kabhi hum nahin rolte
hum to shair hain hum sach nahin bolte
fasl aati hai jab hifz-e-pindar ki
sach ke izhaar ki
hum haqaeq se nazren churae hue
maslahat ke janaze uThae hue
sar jhukae hue
lauT jate hain mazi ke sahraon mein
baiTh kar phir gham-e-zat ki chhanw mein
sochte bhi nahin bolte bhi nahin
sahme sahme hue log milte hon jab
har taraf zaKHm ke phul khilte hon jab
jaan-e-jaan kam se kam aise mausam mein hum
harf-e-haq to kuja lab nahin kholte
hum to shair hain hum sach nahin bolte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.