ham-zad
barq-pā lamhoñ kī ik zanjīr meñ jakḌā huā
vo shikasta-pā unhī rastoñ se guzrā
aur nādīda ḳhudāoñ kā hujūm
ḳhanda-zan āñkhoñ se us kī nā-rasā.ī kā tamāshā dekh
kar kahtā rahā
tū ne chāhā thā magar tere muqaddar meñ na thā
jaise us kī bebasī meñ vo kabhī shāmil na the
vo kahāñ gum ho gayā
koī naqsh-e-pā nahīñ jis kī zabāñ
ek harf-e-nā-shunīda hī kahe
aur maiñ din-rāt ke sahrā meñ
us ko DhūñDh kar paane kī koī aarzū le chalūñ
rāstoñ par koī naqsh-e-pā nahīñ
koī nishāñ baaqī nahīñ
naqsh gar lamhoñ kī har tahrīr
dast-e-be-nishāñ ke lams qātil kā fasāna ban ga.ī
shahr ke logoñ
tumhāre rauzan-e-chāk-e-jigar bhī band haiñ
tum meñ har ik ne kisī ḳhisht-e-tamannā
sañg-e-nafrat se
ye chashm-e-rauzan-e-dil band kar ke
āḳhirī ummīd kā sūraj bujhā kar rakh diyā
aur ab lazzāt kī duniyā meñ gum
sūd-o-saudā kī asīrī par
razā-mand kā tauq-e-be-nishāñ pahne hue
ḳhush ho ki jannat mil ga.ī
maiñ akelā
tañg rāhoñ sañg-dil saḌkoñ pe
us ko DhūñDne kaise chalūñ
koī naqsh-e-pā nahīñ miltā mujhe
aur saarā shahr ye goyā daraḳhtoñ kā bharā jañgal
faqat shor-e-abas kā silsila hai
koī harf-e-nā-shunīda se nahīñ vāqif yahāñ
lahza lahz tīra-tar hotī huī ye shaam bhī
raat ke qulzum meñ gir kar be-nishāñ ho jā.egī
aur ik mauj-e-fanā is raat se tārīk-tar
is bhare jañgal chamakte shahr par chhā jā.egī
ek maiñ huuñ rāhat ḳhvāb-e-shabīna
merī qismat meñ nahīñ
dopahar kī dhuup
shab kī tīrgī
merā muqaddar ban ga.ī
raat ko phir
sa.i-e-lā-hāsil kā zaḳhm lā-davā
un siyah-rastoñ pe us kī justujū karne mujhe le aa.egā
ūñghī saḌkoñ pe apnī chaap sun kar
phir mire dil kā vahī zaḳhm-e-kuhan
sad-zabān ho jā.egā
kaun merī dāstāñ sun le ki maiñ
us ko paane kī tamannā ke tufail
is bhare jañgal meñ tanhā huuñ
koī bhī rāz-dāñ merā nahīñ
dopahar kī dhuup meñ
us ne kyuuñ yuuñ muzmahil nazroñ se dekhā thā mujhe
us kī āñkhoñ meñ sisaktī ruuh
kyuuñ mere liye chāk-e-jigar ban kar rahī
kaash ye chāk-e-jigar chāk-e-garebāñ ban sake
taaki merī sa.i-e-lā-hāsil kā zaḳhm lā-davā
lazzat āvārgī kā ta.ana-e-qātil na bin jaa.e kahīñ
shahr vaale ḳhush haiñ
chashm-e-rauzan-e-dil ab kisī ḳhisht-e-tamannā
tūda-e-ummīd sañg-e-ārzū se band hai
ek maiñ huuñ merā chāk-e-dil
kisī sozan se siltā hī nahīñ
ye kisī sañg-e-tamannā tūda-e-ummīd se bhartā nahīñ
aur jis kī justujū meñ rāt-din
barg-e-āvāra banā phirtā huuñ maiñ
us kā naqsh-e-pā kahīñ miltā nahīñ
us kā naqsh-e-pā kahīñ miltā nahīñ
barq-pa lamhon ki ek zanjir mein jakDa hua
wo shikasta-pa unhi raston se guzra
aur nadida KHudaon ka hujum
KHanda-zan aankhon se us ki na-rasai ka tamasha dekh
kar kahta raha
tu ne chaha tha magar tere muqaddar mein na tha
jaise us ki bebasi mein wo kabhi shamil na the
wo kahan gum ho gaya
koi naqsh-e-pa nahin jis ki zaban
ek harf-e-na-shunida hi kahe
aur main din-raat ke sahra mein
us ko DhunDh kar pane ki koi aarzu le chalun
raston par koi naqsh-e-pa nahin
koi nishan baqi nahin
naqsh gar lamhon ki har tahrir
dast-e-be-nishan ke lams qatil ka fasana ban gai
shahr ke logon
tumhaare rauzan-e-chaak-e-jigar bhi band hain
tum mein har ek ne kisi KHisht-e-tamanna
sang-e-nafrat se
ye chashm-e-rauzan-e-dil band kar ke
aaKHiri ummid ka suraj bujha kar rakh diya
aur ab lazzat ki duniya mein gum
sud-o-sauda ki asiri par
raza-mand ka tauq-e-be-nishan pahne hue
KHush ho ki jannat mil gai
main akela
tang rahon sang-dil saDkon pe
us ko DhunDne kaise chalun
koi naqsh-e-pa nahin milta mujhe
aur sara shahr ye goya daraKHton ka bhara jangal
faqat shor-e-abas ka silsila hai
koi harf-e-na-shunida se nahin waqif yahan
lahza lahz tira-tar hoti hui ye sham bhi
raat ke qulzum mein gir kar be-nishan ho jaegi
aur ek mauj-e-fana is raat se tarik-tar
is bhare jangal chamakte shahr par chha jaegi
ek main hun rahat KHwab-e-shabina
meri qismat mein nahin
dopahar ki dhup
shab ki tirgi
mera muqaddar ban gai
raat ko phir
sai-e-la-hasil ka zaKHm la-dawa
un siyah-raston pe us ki justuju karne mujhe le aaega
unghi saDkon pe apni chap sun kar
phir mere dil ka wahi zaKHm-e-kuhan
sad-zaban ho jaega
kaun meri dastan sun le ki main
us ko pane ki tamanna ke tufail
is bhare jangal mein tanha hun
koi bhi raaz-dan mera nahin
dopahar ki dhup mein
us ne kyun yun muzmahil nazron se dekha tha mujhe
us ki aankhon mein sisakti ruh
kyun mere liye chaak-e-jigar ban kar rahi
kash ye chaak-e-jigar chaak-e-gareban ban sake
taki meri sai-e-la-hasil ka zaKHm la-dawa
lazzat aawargi ka tana-e-qatil na bin jae kahin
shahr wale KHush hain
chashm-e-rauzan-e-dil ab kisi KHisht-e-tamanna
tuda-e-ummid sang-e-arzu se band hai
ek main hun mera chaak-e-dil
kisi sozan se silta hi nahin
ye kisi sang-e-tamanna tuda-e-ummid se bharta nahin
aur jis ki justuju mein raat-din
barg-e-awara bana phirta hun main
us ka naqsh-e-pa kahin milta nahin
us ka naqsh-e-pa kahin milta nahin
- Book : Pakistani Adab (Pg. 83)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.