ham-zad
kuchh kiyā jaa.e na sochā jaa.e
muḌ ke dekhūñ to na dekhā jaa.e
merī tanhā.ī kī vahshat se hirāsāñ ho kar
merā saaya mere qadmoñ meñ simaT aayā hai
kaun hai phir jo mire saath chalā aatā hai
merā saaya to nahīñ!!
kis kī aahaT kā gumāñ
yuuñ mire paañv kī zanjīr banā jaatā hai
duur tā-hadd-e-nazar shahr ke āsār nahīñ
aur dushman kī tarah
shaam talvār liye sar pe chalī aatī hai
boltā huuñ to āchānak koī
merī āvāz meñ āvāz milā detā hai
mujh ko ḳhud mere hī lafzoñ se Darā detā hai
kaun hai jis ne mire qalb kī dhaḌkan dhaḌkan
apne ehsās kī suulī pe chaḌhā rakkhī hai
merī raftār ke pur-ḳhauf-o-ḳhatar raste meñ
kis ne āvāz kī dīvār banā rakkhī hai
sañg-e-āvāz kī dīvār girā.ūñ kaise
kuchh kiyā jaa.e na sochā jaa.e
muḌ ke dekhūñ to na dekhā jaa.e
kuchh kiya jae na socha jae
muD ke dekhun to na dekha jae
meri tanhai ki wahshat se hirasan ho kar
mera saya mere qadmon mein simaT aaya hai
kaun hai phir jo mere sath chala aata hai
mera saya to nahin!!
kis ki aahaT ka guman
yun mere panw ki zanjir bana jata hai
dur ta-hadd-e-nazar shahr ke aasar nahin
aur dushman ki tarah
sham talwar liye sar pe chali aati hai
bolta hun to aachanak koi
meri aawaz mein aawaz mila deta hai
mujh ko KHud mere hi lafzon se Dara deta hai
kaun hai jis ne mere qalb ki dhaDkan dhaDkan
apne ehsas ki suli pe chaDha rakkhi hai
meri raftar ke pur-KHauf-o-KHatar raste mein
kis ne aawaz ki diwar bana rakkhi hai
sang-e-awaz ki diwar giraun kaise
kuchh kiya jae na socha jae
muD ke dekhun to na dekha jae
- Book : Barzakh (Pg. 27)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Mawara Publishers, Bahawalpur Road Lahore (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.