ham-zad
bahut pahle jo nafrat jaag uThī thī
lahū meñ ik safedī aa ga.ī thī
zamīn-e-dil kā baTvārā huā thā
mire āñgan meñ ik dīvār uThī thī
vahī dīvār barsoñ baa'd jaise
shikasta hote-hote gir ga.ī hai
purāne zaḳhm taaza ho ga.e haiñ
koī mujh ko sadā.eñ de rahā hai
mire andar ḳhamoshī chīḳh uThī hai
mirā ham-zād zinda ho gayā hai
bahut pahle jo nafrat jag uThi thi
lahu mein ek safedi aa gai thi
zamin-e-dil ka baTwara hua tha
mere aangan mein ek diwar uThi thi
wahi diwar barson ba'd jaise
shikasta hote-hote gir gai hai
purane zaKHm taza ho gae hain
koi mujh ko sadaen de raha hai
mere andar KHamoshi chiKH uThi hai
mera ham-zad zinda ho gaya hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 115)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.