ham-zad
maiñ aaj daftar meñ sub.h pahuñchā
to ik nayā zard zard chehra nazar paḌā
jis ko dekhte hī
ma.an mire dil meñ ik darīcha khulā
aur us ke aqab se
us zard shakl kī ham-shabīh
ik surḳh shakl ubhrī
sharīr gustāḳh be-takalluf
ubhar ke mere qarīb aa.ī
qarīb aa kar
nazar milā kar
vo khilkhilā kar hañsī
aur apne sharīr poroñ se
mere collar kī saḳhtiyāñ pā.emāl kar diiñ
safed bāloñ ke pech-o-ḳham meñ
siyāhiyoñ kī lakīr khīñchī
nigāh se sab ḳhushūnateñ
aur jabīñ se sab silvaTeñ miTā diiñ
mujhe darīche se le ke niklī
tavīl rāhoñ pe
sabza-zāroñ meñ
lahlahāte hasīn khetoñ meñ
chāñd tāroñ meñ phir rahī thī
ki jab achānak
darīcha-e-dil ke band hone se vaqt ke pul-sirāt kī tez Dor TuuTī
vahī safedī ke pech-o-ḳham the
vahī safedī ke pech-o-ḳham ke tale jabīñ par shikan
nigah meñ ḳhushūnateñ
rū-ba-rū vahī zard zard chehra
jo kāñptī uñgliyoñ se file ko mez par rakh ke haT rahā thā
main aaj daftar mein subh pahuncha
to ek naya zard zard chehra nazar paDa
jis ko dekhte hi
man mere dil mein ek daricha khula
aur us ke aqab se
us zard shakl ki ham-shabih
ek surKH shakl ubhri
sharir gustaKH be-takalluf
ubhar ke mere qarib aai
qarib aa kar
nazar mila kar
wo khilkhila kar hansi
aur apne sharir poron se
mere collar ki saKHtiyan paemal kar din
safed baalon ke pech-o-KHam mein
siyahiyon ki lakir khinchi
nigah se sab KHushunaten
aur jabin se sab silwaTen miTa din
mujhe dariche se le ke nikli
tawil rahon pe
sabza-zaron mein
lahlahate hasin kheton mein
chand taron mein phir rahi thi
ki jab achanak
daricha-e-dil ke band hone se waqt ke pul-siraat ki tez Dor TuTi
wahi safedi ke pech-o-KHam the
wahi safedi ke pech-o-KHam ke tale jabin par shikan
nigah mein KHushunaten
ru-ba-ru wahi zard zard chehra
jo kanpti ungliyon se file ko mez par rakh ke haT raha tha
- Book : sarabon ke sadaf (Pg. 125)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.