hama-giriyyat
taz.īn kā ḳhayāl agar aa.e zehn meñ
qaid-e-maqām kā na tasavvur rahe ravā
jazbāt qalb meñ jo mohabbat ke jaag uTheñ
in.aam un kā saare zamāne ko ho atā
ik gosha-e-jahāñ kā sañvarnā bhī ḳhuub hai
lekin hai ḳhūb-tar ki sañvar jaa.e kā.enāt
apne vatan se pyaar baḌī baat hai magar
sab ke vatan se pyaar hai afzal tarīn baat
tazin ka KHayal agar aae zehn mein
qaid-e-maqam ka na tasawwur rahe rawa
jazbaat qalb mein jo mohabbat ke jag uThen
inam un ka sare zamane ko ho ata
ek gosha-e-jahan ka sanwarna bhi KHub hai
lekin hai KHub-tar ki sanwar jae kaenat
apne watan se pyar baDi baat hai magar
sab ke watan se pyar hai afzal tarin baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.