hamara bakra
sab kī ā.ankhoñ kā hai taarā bakrā
kitnā pyārā hai hamārā bakrā
ahl-e-duniyā ne dikhā.ī jo chhurī
samt-e-uqbā ko sidhārā bakrā
us kī sehhat kā bhalā raaz hai kyā
misl-e-gā.e hai tumhārā bakrā
ham ne samjhā hai anā kā ḳhūgar
''meñ-meñ'' kar ke jo pukār bakrā
jaise be-chāra ho faaqe se niDhāl
is tarah khātā hai chāra bakrā
terī āvāz meñ hai soz-o-gudāz
dil ko khīñche tirā na.ara bakrā
aah zālim vo qasā.ī bhaa.ī
haa.e mazlūm bichāra bakrā
chor-uchakkoñ se hifāzat ke liye
bāñdh kar rakhiye ḳhudā-rā bakrā
sab ki aaankhon ka hai tara bakra
kitna pyara hai hamara bakra
ahl-e-duniya ne dikhai jo chhuri
samt-e-uqba ko sidhaara bakra
us ki sehhat ka bhala raaz hai kya
misl-e-gae hai tumhaara bakra
hum ne samjha hai ana ka KHugar
men-men kar ke jo pukar bakra
jaise be-chaara ho faqe se niDhaal
is tarah khata hai chaara bakra
teri aawaz mein hai soz-o-gudaz
dil ko khinche tera nara bakra
aah zalim wo qasai bhai
hae mazlum bichaara bakra
chor-uchakkon se hifazat ke liye
bandh kar rakhiye KHuda-ra bakra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.