hamara bhaarat
pyārā desh hamārā bhārat
saare jag se nyārā bhārat
koh-e-himāla is kā darbāñ
duudh kī har-jā bahtī nadiyāñ
mast fazā meñ amrit barse
pyārī dhartī sonā agle
sab mausam haiñ pāvan is meñ
sardī garmī sāvan is meñ
oḌhe himāla barf kī chādar
is ke charan dhotā hai sāgar
pag pag par yuuñ jiit hai is kī
pyaar mohabbat riit hai is kī
hindī is meñ urdu is meñ
bhāshā bhāshā jaadū is meñ
jaan luTā deñge ham is par
shaan baḌhā.eñge sab mil kar
kabhī na hogā sar ḳham is kā
sah rañgā hai parcham is kā
pyara desh hamara bhaarat
sare jag se nyara bhaarat
koh-e-himala is ka darban
dudh ki har-ja bahti nadiyan
mast faza mein amrit barse
pyari dharti sona agle
sab mausam hain pawan is mein
sardi garmi sawan is mein
oDhe himala barf ki chadar
is ke charan dhota hai sagar
pag pag par yun jit hai is ki
pyar mohabbat rit hai is ki
hindi is mein urdu is mein
bhasha bhasha jadu is mein
jaan luTa denge hum is par
shan baDhaenge sab mil kar
kabhi na hoga sar KHam is ka
sah ranga hai parcham is ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.