hamara farz
dekh kar kisī kā desh ke liye upvās
ham netāoñ kā uḌāte haiñ uphās
aur dete haiñ gāliyāñ
bas hamārā farz puurā
jab bhī hotā hai koī āndolan
ham yaar dostoñ kā kar ke sammelan
nigāh sarkār pe Dālte haiñ savāliya
bas hamārā farz puurā
desh jaatā hai jahāñ jaa.e
netā chāhe jaise bhī desh ko chalā.eñ
ham duty kar dete haiñ pāñch saal
bas hamārā farz puurā
paanī ho chalā hai hamārā ḳhuun
ab kahāñ desh-bhaktī kā junūn
roz kahte haiñ achchhā nahīñ hamārā qānūn
bas hamārā farz puurā
ham Dar se mānte haiñ qānūn-qā.eda
aisī āzādī kā kyā fā.eda
sach mānte haiñ pāñch saal vaalā va.ada
bas hamārā farz puurā
jaldī bhulā dete haiñ uupar paḌī laat ko
phir kyuuñ bhunte haiñ ham binā baat ko
jab itnā hī bahāna banānā hai ham aap ko
ki bas hamārā farz puurā
dekh kar kisi ka desh ke liye upwas
hum netaon ka uDate hain uphas
aur dete hain galiyan
bas hamara farz pura
jab bhi hota hai koi aandolan
hum yar doston ka kar ke sammelan
nigah sarkar pe Dalte hain sawaliya
bas hamara farz pura
desh jata hai jahan jae
neta chahe jaise bhi desh ko chalaen
hum duty kar dete hain panch sal
bas hamara farz pura
pani ho chala hai hamara KHun
ab kahan desh-bhakti ka junun
roz kahte hain achchha nahin hamara qanun
bas hamara farz pura
hum Dar se mante hain qanun-qaeda
aisi aazadi ka kya faeda
sach mante hain panch sal wala wada
bas hamara farz pura
jaldi bhula dete hain upar paDi lat ko
phir kyun bhunte hain hum bina baat ko
jab itna hi bahana banana hai hum aap ko
ki bas hamara farz pura
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.