hamara punjab
tahzīb kā rahbar hai ye punjab hamārā
har ilm kā masdar hai ye punjab hamārā
har fan meñ muaqqar hai ye punjab hamārā
irfāñ se munavvar hai ye punjab hamārā
jannat se bhī bartar hai ye punjab hamārā
sāhir bhī fusūñ-kār bhī haiñ is kī bahāreñ
sarmast bhī sarshār bhī haiñ is kī bahāreñ
dilkash bhī tarah-dār bhī haiñ is kī bahāreñ
gul-rañg bhī gul-bār bhī haiñ is kī bahāreñ
jannat se bhī bartar hai ye punjab hamārā
ye ḳhuld-fazā ḳhuld-numā is ke manāzir
ye māh-e-ziyā mehr-laqā is ke manāzir
ye kaif-e-adā rūh-fazā is ke manāzir
har samt ye andoh-rubā is ke manāzir
jannat se bhī bartar hai ye punjab hamārā
mai-bār bhī mai-nosh bhī haiñ is kī ghaTā.eñ
jām-e-mai-e-sar-josh bhī haiñ is kī ghaTā.eñ
mai-ḳhāna-ba-āġhosh bhī haiñ is kī ghaTā.eñ
ġhārat-gar-e-sad-hosh bhī haiñ is kī ghaTā.eñ
jannat se bhī bartar hai ye punjab hamārā
rishiyoñ ne yahāñ gaa.e haiñ ulfat ke tarāne
gurūoñ ne sunā.e haiñ haqīqat ke fasāne
bhagtoñ ne yahāñ paa.e haiñ qudrat ke ḳhazāne
logoñ ne banā.e haiñ masarrat ke Thikāne
jannat se bhī bartar hai ye punjab hamārā
punjab ko ham rausahn-o-pur-nūr kareñge
punjab ko ham amn se māmūr kareñge
punjab ko har haal meñ masrūr kareñge
punjab ko ham aur bhī mash.hūr kareñge
jannat se bhī bartar hai ye punjab hamārā
tahzib ka rahbar hai ye punjab hamara
har ilm ka masdar hai ye punjab hamara
har fan mein muaqqar hai ye punjab hamara
irfan se munawwar hai ye punjab hamara
jannat se bhi bartar hai ye punjab hamara
sahir bhi fusun-kar bhi hain is ki bahaaren
sarmast bhi sarshaar bhi hain is ki bahaaren
dilkash bhi tarah-dar bhi hain is ki bahaaren
gul-rang bhi gul-bar bhi hain is ki bahaaren
jannat se bhi bartar hai ye punjab hamara
ye KHuld-faza KHuld-numa is ke manazir
ye mah-e-ziya mehr-laqa is ke manazir
ye kaif-e-ada ruh-faza is ke manazir
har samt ye andoh-ruba is ke manazir
jannat se bhi bartar hai ye punjab hamara
mai-bar bhi mai-nosh bhi hain is ki ghaTaen
jam-e-mai-e-sar-josh bhi hain is ki ghaTaen
mai-KHana-ba-aghosh bhi hain is ki ghaTaen
ghaarat-gar-e-sad-hosh bhi hain is ki ghaTaen
jannat se bhi bartar hai ye punjab hamara
rishiyon ne yahan gae hain ulfat ke tarane
guruon ne sunae hain haqiqat ke fasane
bhagton ne yahan pae hain qudrat ke KHazane
logon ne banae hain masarrat ke Thikane
jannat se bhi bartar hai ye punjab hamara
punjab ko hum rausahn-o-pur-nur karenge
punjab ko hum amn se mamur karenge
punjab ko har haal mein masrur karenge
punjab ko hum aur bhi mashhur karenge
jannat se bhi bartar hai ye punjab hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.