Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamara pyara des

Mohammad Shafiuddin Nayyar

hamara pyara des

Mohammad Shafiuddin Nayyar

MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar

    baat ye saare jag pe ayaañ hai

    des hamārā bāġh-e-jināñ hai

    ham sab izzat nishāñ hai

    naam is des hindostāñ hai

    pyārā pyārā des hamārā

    des hamārā pyārā pyārā

    āb-o-havā hai ḳhuub yahāñ

    dil zamīñ mahbūb yahāñ

    har har shai marġhūb yahāñ

    āzādī matlūb yahāñ

    pyārā pyārā des hamārā

    des hamārā pyārā pyaar

    sub.h-e-banaras is pyārī

    shaam avadh is meñ nyārī

    gangā jamunā dariyā jaarī

    is shobhā ke balihārī

    pyārā pyārā des hamārā

    des hamārā pyārā pyārā

    har vaadī zarḳhez yahāñ

    har khetī zar-rez yahāñ

    dhuup masarrat-bez yahāñ

    sardī dil-āvez yahāñ

    pyārā pyārā des hamārā

    des hamārā pyārā pyārā

    aao des ke ham gun gaa.eñ

    des ḳhidmat kar ke dikhā.eñ

    des apne maan baḌhā.eñ

    sher ye 'nayyar' dohrā.eñ

    pyārā pyārā des hamārā

    des hamārā pyārā pyārā

    baat ye sare jag pe ayan hai

    des hamara bagh-e-jinan hai

    hum sab ki izzat ka nishan hai

    nam is des ka hindostan hai

    pyara pyara des hamara

    des hamara pyara pyara

    aab-o-hawa hai KHub yahan ki

    dil ki zamin mahbub yahan ki

    har har shai marghub yahan ki

    aazadi matlub yahan ki

    pyara pyara des hamara

    des hamara pyara pyar

    subh-e-banaras is ki pyari

    sham awadh ki is mein nyari

    ganga jamuna dariya jari

    is ki shobha ke balihaari

    pyara pyara des hamara

    des hamara pyara pyara

    har wadi zarKHez yahan ki

    har kheti zar-rez yahan ki

    dhup masarrat-bez yahan ki

    sardi dil-awez yahan ki

    pyara pyara des hamara

    des hamara pyara pyara

    aao des ke hum gun gaen

    des ki KHidmat kar ke dikhaen

    des ka apne man baDhaen

    sher ye 'nayyar' ka dohraen

    pyara pyara des hamara

    des hamara pyara pyara

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now