hamare darmiyan jo rabt tha
bahut shādāñ-o-farhāñ ho
sunā hai
zindagī kī ne.amateñ āsā.isheñ
jo tum ne chāhī thiiñ
mayassar haiñ
bhare ghar meñ
har ik kī aañkh kā taarā banī
masrūf roz-o-shab
bahut ḳhush-kām rahtī ho
bahut ḳhush-kām rahtī ho
ḳhudā tum ko hayāt-e-shādmāñ baḳhshe
farozāñ ho har ik lamha bahār-e-aish-o-ishrat se
yahāñ maiñ mutma.in huuñ
roz-o-shab kī chīra-dastī se
bahut mahfūz
shādāñ aur farhāñ
zindagī kī dauḌ meñ sab marhaloñ par
kāmrāñ
ḳhush-kām
zinda huuñ
bahut hī ḳhūbsūrat moḌ thā
apnī judā.ī kā
zabāñ larzī na koī dukh huā āvāz meñ shāmil
shikast-e-ḳhvāb kā nauha
na marg-e-ārzū kā ġham
koī ehsās-e-mahrūmī
na ehsās-e-ziyāñ koī
jabīnoñ par shikan aa.ī
na palkoñ par sitāre TuuT kar bikhre
na chehroñ par taraddud ke nishāñ ubhre
na tum karb-e-judā.ī se taḌap uTThīñ
na maiñ royā
hamāre darmiyāñ
jo rabt thā
kyā naam thā us kā
bahut shadan-o-farhan ho
suna hai
zindagi ki neamaten aasaishen
jo tum ne chahi thin
mayassar hain
bhare ghar mein
har ek ki aankh ka tara bani
masruf roz-o-shab
bahut KHush-kaam rahti ho
bahut KHush-kaam rahti ho
KHuda tum ko hayat-e-shadman baKHshe
farozan ho har ek lamha bahaar-e-aish-o-ishrat se
yahan main mutmain hun
roz-o-shab ki chira-dasti se
bahut mahfuz
shadan aur farhan
zindagi ki dauD mein sab marhalon par
kaamran
KHush-kaam
zinda hun
bahut hi KHubsurat moD tha
apni judai ka
zaban larzi na koi dukh hua aawaz mein shamil
shikast-e-KHwab ka nauha
na marg-e-arzu ka gham
koi ehsas-e-mahrumi
na ehsas-e-ziyan koi
jabinon par shikan aai
na palkon par sitare TuT kar bikhre
na chehron par taraddud ke nishan ubhre
na tum karb-e-judai se taDap uTThin
na main roya
hamare darmiyan
jo rabt tha
kya nam tha us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.