Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamari banhon ki hiddat se phuTti hui nazm

Nadeem Najid

hamari banhon ki hiddat se phuTti hui nazm

Nadeem Najid

MORE BYNadeem Najid

    taqāzā-go hai

    ki ham is ke haath ko thāmeñ

    ham is ke saath guzāreñ ka.ī hasīñ shāmeñ

    maiñ tum se pūchh rahā huuñ ki kyā irāda hai

    ye nazm ham se mohabbat meñ kuchh ziyāda hai

    jo tum kaho to ise ḳhud pe oḌh lete haiñ

    aur is se 'ishq vahdat nichoḌ lete haiñ

    hamārī bāñhoñ hiddat se phūTtī huī nazm

    ye sirf nazm nahīñ hai

    vujūd-e-vahdat hai

    ḳhudā shukr ki ye nazm likh rahā huuñ maiñ

    zamāna-vār tasalsul se dikh rahā huuñ maiñ

    zamāna-vār tasalsul se dikh rahā huuñ maiñ

    taqaza-go hai

    ki hum is ke hath ko thamen

    hum is ke sath guzaren kai hasin shamen

    main tum se puchh raha hun ki kya irada hai

    ye nazm hum se mohabbat mein kuchh ziyaada hai

    jo tum kaho to ise KHud pe oDh lete hain

    aur is se 'ishq ki wahdat nichoD lete hain

    hamari banhon ki hiddat se phuTti hui nazm

    ye sirf nazm nahin hai

    wujud-e-wahdat hai

    KHuda ka shukr ki ye nazm likh raha hun main

    zamana-war tasalsul se dikh raha hun main

    zamana-war tasalsul se dikh raha hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now