hamari KHwahishat hamari zaruriyat ki paidawar hain
hamārī ḳhvāhishāt hamārī zarūriyāt kī paidāvār haiñ
ḳhvāhishāt kī takmīl ḳhushī detī hai
aur adam-e-takmīl ranj
ḳhushī aur ranj kyā hai
hamāre apne mizāj kī jam.a-tafrīq
kyā tum ne kabhī kisī ke liye maut kī ḳhvāhish kī hai
maut meñ ek ḳhushī poshīda hai
ek svārth nihit hai
tumhārī zindagī svārth pe qaa.em hai
tum jab bhī maut chāhoge apne svārth ke liye chāhoge
yuuñ koī maut ko gale lagātā hai
maiñ sochtā huuñ
zindagī kī sāñsoñ ne
mere badan ko hiddat ke sivā kyā diyā hai
dhartī par ek bojh se ziyāda nahīñ rahā hai merā vajūd
āḳhir dhartī kab tak merā bojh bardāsht karegī
vaqt aa gayā hai ki maut mujhe gale lagā le
maiñ dhartī kā bojh kam karnā chāhtā huuñ
yā zindagī ke bojh se ḳhud chhuTkārā hāsil karnā chāhtā huuñ
maiñ jāntā huuñ
merī maut se sansār apnī raftār dhīmī nahīñ kar legā
vaqt Thahar nahīñ jā.egā
ki maiñ kisī ke liye zinda nahīñ thā
aur merī maut bhī
apne liye hai
ḳhālis apne liye
hamari KHwahishat hamari zaruriyat ki paidawar hain
KHwahishat ki takmil KHushi deti hai
aur adam-e-takmil ranj
KHushi aur ranj kya hai
hamare apne mizaj ki jama-tafriq
kya tum ne kabhi kisi ke liye maut ki KHwahish ki hai
maut mein ek KHushi poshida hai
ek swarth nihit hai
tumhaari zindagi swarth pe qaem hai
tum jab bhi maut chahoge apne swarth ke liye chahoge
yun koi maut ko gale lagata hai
main sochta hun
zindagi ki sanson ne
mere badan ko hiddat ke siwa kya diya hai
dharti par ek bojh se ziyaada nahin raha hai mera wajud
aaKHir dharti kab tak mera bojh bardasht karegi
waqt aa gaya hai ki maut mujhe gale laga le
main dharti ka bojh kam karna chahta hun
ya zindagi ke bojh se KHud chhuTkara hasil karna chahta hun
main jaanta hun
meri maut se sansar apni raftar dhimi nahin kar lega
waqt Thahar nahin jaega
ki main kisi ke liye zinda nahin tha
aur meri maut bhi
apne liye hai
KHalis apne liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.