hamari nani jaan
ek haiñ naanī jaan hamārī
kyā batlā.eñ kitnī pyārī
un ke muñh meñ daañt nahīñ haiñ
itnī būḌhī haiñ bechārī
phir bhī vo khāyā kartī haiñ
kuuT kuuT kar paan supārī
huī hai jab se lāhaq un ko
blōd-pressure kī bīmārī
shor zarā bhī ho to un par
hotī hai ghabrāhaT taarī
ek hain nani jaan hamari
kya batlaen kitni pyari
un ke munh mein dant nahin hain
itni buDhi hain bechaari
phir bhi wo khaya karti hain
kuT kuT kar pan supari
hui hai jab se lahaq un ko
blood-pressure ki bimari
shor zara bhi ho to un par
hoti hai ghabrahaT tari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.