hamari naw
āñgan meñ paanī aayā hai
kyā achchhā tālāb banā hai
kāġhaz ham achchhe achchhe laa.eñ
phaaḌ ke in ko naav banā.eñ
naav tumhārī TuuTī aḳhtar
Duub rahī hai chakkar khā kar
kheleñ kūdeñ dil bahlā.eñ
dauḌo akbar us ko bachā.eñ
kyā achchhā tālāb banā hai
kyā achchhā tālāb banā hai
paanī meñ sab mil kar jaa.eñ
apnī apnī naav bahā.eñ
khel meñ ronā dhonā kaisā
ye nahīñ achchhī dūsrī lenā
beḌā sab kā paar lagā.eñ
sab se aage is ko baḌhā.eñ
kyā achchhā tālāb banā hai
kyā achchhā tālāb banā hai
dekho ye kyā tez chalī hai
sab se aage jā pahuñchī hai
dekho dekho phail ga.iiñ vo
dekho kaisī mil ke chalīñ vo
aao us ko naach nachā.eñ
jaane do jis samt bhī jaa.eñ
kyā achchhā tālāb banā hai
kyā achchhā tālāb banā hai
tair rahī hai yuuñ paanī par
phuul khile haiñ juuñ paanī par
aao zarā ammī ko dikhā.eñ
kyā achchhā tālāb banā hai
aangan mein pani aaya hai
kya achchha talab bana hai
kaghaz hum achchhe achchhe laen
phaD ke in ko naw banaen
naw tumhaari TuTi aKHtar
Dub rahi hai chakkar kha kar
khelen kuden dil bahlaen
dauDo akbar us ko bachaen
kya achchha talab bana hai
kya achchha talab bana hai
pani mein sab mil kar jaen
apni apni naw bahaen
khel mein rona dhona kaisa
ye nahin achchhi dusri lena
beDa sab ka par lagaen
sab se aage is ko baDhaen
kya achchha talab bana hai
kya achchha talab bana hai
dekho ye kya tez chali hai
sab se aage ja pahunchi hai
dekho dekho phail gain wo
dekho kaisi mil ke chalin wo
aao us ko nach nachaen
jaane do jis samt bhi jaen
kya achchha talab bana hai
kya achchha talab bana hai
tair rahi hai yun pani par
phul khile hain jun pani par
aao zara ammi ko dikhaen
kya achchha talab bana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.