hamari ruh ka naghma kahan hai?
vo dard-e-ārzū
jo larza-bar-andām thā pahnā.e aalam meñ
vo harf-e-tishnagī
jo naġhma-bar-lab thā dabistān-e-shab-e-ġham meñ
vo ik duniyā-e-nā-paidā-karāañ thī
āsmāñ kī vus.ateñ jis meñ samā.ī thiiñ
baḌe gahre samundar maujzan the kurra-e-dil meñ
jinheñ ik justajū-e-ḳhām ne ḳhāmosh kar Daalā
bahut muñh zor maujeñ thiiñ
jinheñ ḳhud ham ne pāband-e-salāsil kar diyā ik din
farāz-e-koh se aate hue betāb dariyā the
jinheñ ik dā.ere meñ raqs karnā ham ne sikhlāyā
taqāze hosh-mandī ke hamāre rāhbar nikle
farāze-e-ārzū se ham
nasheb-e-āfiyat meñ aan nikle
aur ma.āl-e-roz-o-shab ke besh o kam meñ gum hue
apnī matta-e-ḳhud-nigāhī chhoḌ aa.e
ik sukūt-e-āhnī hamrāh le aa.e
mudāvā-e-alam koī nahīñ
bazm-e-nashāt o dard-e-ġham koī nahīñ
ik hū kā aalam hai
khaḌe haiñ sāhil-e-hastī pe ham
jiine ke be-pāyāñ bahāne chhoḌ aa.e
ik sukūt-e-āhnī hamrāh le aa.e
hamārī yaad ke kashkol ḳhālī haiñ
hamārī ruuh kā naġhma kahāñ hai?
wo dard-e-arzu
jo larza-bar-andam tha pahnae aalam mein
wo harf-e-tishnagi
jo naghma-bar-lab tha dabistan-e-shab-e-gham mein
wo ek duniya-e-na-paida-karaan thi
aasman ki wusaten jis mein samai thin
baDe gahre samundar maujzan the kurra-e-dil mein
jinhen ek justaju-e-KHam ne KHamosh kar Dala
bahut munh zor maujen thin
jinhen KHud hum ne paband-e-salasil kar diya ek din
faraaz-e-koh se aate hue betab dariya the
jinhen ek daere mein raqs karna hum ne sikhlaya
taqaze hosh-mandi ke hamare rahbar nikle
faraaze-e-arzu se hum
nasheb-e-afiyat mein aan nikle
aur maal-e-roz-o-shab ke besh o kam mein gum hue
apni matta-e-KHud-nigahi chhoD aae
ek sukut-e-ahni hamrah le aae
mudawa-e-alam koi nahin
bazm-e-nashat o dard-e-gham koi nahin
ek hu ka aalam hai
khaDe hain sahil-e-hasti pe hum
jine ke be-payan bahane chhoD aae
ek sukut-e-ahni hamrah le aae
hamari yaad ke kashkol KHali hain
hamari ruh ka naghma kahan hai?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.