hamari zaban
urdu kaho yā hindostānī
is kī baḌā.ī duniyā ne maanī
aapas kī millat maqsūd is kā
ulfat kī ḳhūgar vahdat kī baanī
guzre huoñ ke dil kī dulārī
biite dinoñ kī dilkash kahānī
hai ittihād-e-qaumī kā naġhma
āġhāz is kā us kī javānī
ahl-e-vatan the aapas meñ yak dil
is baat kī hai urdu nishānī
hone ko haiñ go sad.hā zabāneñ
par is ke aage bhartī haiñ paanī
uttar se dakshin pūrab se pachchhim
har samt is kī hai hukmarānī
hindū bhī shaidā muslim bhī shaidā
hai saarī ḳhilqat is par divānī
hoñ kyuuñ na is ke sab log haamī
hai ye sarāsar hindostānī
miltī hai khul kar har ik zabāñ se
is baat meñ hai kaun is kā saanī
tarz-e-nigārish gar dekh paa.eñ
rah jaa.eñ hairāñ bahzād-o-mānī
is kī fasāhat is kī balāġhat
is kī salāsat is kī ravānī
rañgīn qisse novel anokhe
dilchasp nazmeñ shīrīñ-zabānī
jādū-nigārī shevā-bayānī
san.at-tarāzī gauhar-fishānī
har bol is kā misrī sā mīThā
har baat dilkash har lai suhānī
merī duā hai ye mudda.ā hai
is par ḳhudā kī ho mehrbānī
'nayyar' jahāñ meñ phūle-phale ye
jab tak hai baaqī duniyā-e-fānī
urdu kaho ya hindostani
is ki baDai duniya ne mani
aapas ki millat maqsud is ka
ulfat ki KHugar wahdat ki bani
guzre huon ke dil ki dulari
bite dinon ki dilkash kahani
hai ittihad-e-qaumi ka naghma
aaghaz is ka us ki jawani
ahl-e-watan the aapas mein yak dil
is baat ki hai urdu nishani
hone ko hain go sadha zabanen
par is ke aage bharti hain pani
uttar se dakshin purab se pachchhim
har samt is ki hai hukmarani
hindu bhi shaida muslim bhi shaida
hai sari KHilqat is par diwani
hon kyun na is ke sab log hami
hai ye sarasar hindostani
milti hai khul kar har ek zaban se
is baat mein hai kaun is ka sani
tarz-e-nigarish gar dekh paen
rah jaen hairan bahzad-o-mani
is ki fasahat is ki balaghat
is ki salasat is ki rawani
rangin qisse nowel anokhe
dilchasp nazmen shirin-zabani
jadu-nigari shewa-bayani
sanat-taraazi gauhar-fishani
har bol is ka misri sa miTha
har baat dilkash har lai suhani
meri dua hai ye muddaa hai
is par KHuda ki ho mehrbani
'nayyar' jahan mein phule-phale ye
jab tak hai baqi duniya-e-fani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.