hamd
agar koī ḳhudā hai
to yaqīnan
puurī duniyā ḳhudā kā mulk hai
is mulk meñ
yaqīnan
sab avval darje ke shahrī haiñ
ḳhudā kī shaan ye hai ki
vo kisī meñ tamīz nahīñ kartā
bilā-imtiyāz
har maz.hab aur nazariye ke logoñ ko
paidā kartā hai
aur rizq detā hai
yaqīnan
ḳhudā secular hai
agar koi KHuda hai
to yaqinan
puri duniya KHuda ka mulk hai
is mulk mein
yaqinan
sab awwal darje ke shahri hain
KHuda ki shan ye hai ki
wo kisi mein tamiz nahin karta
bila-imtiyaz
har mazhab aur nazariye ke logon ko
paida karta hai
aur rizq deta hai
yaqinan
KHuda secular hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.