hamd gati hai zamin
mālik-e-arz-o-samā ko yaad kartā hai jahāñ
hamd gaatī hai zamīñ tasbīh paḌhtā āsmāñ
haath bāñdhe peḌ saare jangaloñ meñ haiñ khaḌe
sab maveshī us kī azmat meñ rukū karte hue
jānvar sab reñgte sajde meñ haiñ goyā paḌe
zarra zarra is zamīñ kā rab kā hai tasbīh-ḳhvāñ
yaad kartā hai ḳhudā ko har ghaḌī saarā jahāñ
ye zamīñ allāh kī hamd-o-sanā meñ hai magan
us kī paakī ko bayāñ kartā huā niilā gagan
azmat-e-rab ke qasīda-ḳhvāñ haiñ ye koh-o-daman
ik usī ke naam se raushan hue kaun-o-makāñ
yaad kartā hai ḳhudā ko har ghaḌī saarā jahāñ
us kī azmat ke shavāhid chaar jānib haiñ ayaañ
hai har ik zarre ke dil meñ mālik-e-mulk-e-jahāñ
kyoñ magar insān apne rab se ġhāfil hai yahāñ
mālik-e-arz-o-samā ko yaad kartā hai jahāñ
hamd gaatī hai zamīñ tasbīh paḌhtā āsmāñ
malik-e-arz-o-sama ko yaad karta hai jahan
hamd gati hai zamin tasbih paDhta aasman
hath bandhe peD sare jangalon mein hain khaDe
sab maweshi us ki azmat mein ruku karte hue
jaanwar sab rengte sajde mein hain goya paDe
zarra zarra is zamin ka rab ka hai tasbih-KHwan
yaad karta hai KHuda ko har ghaDi sara jahan
ye zamin allah ki hamd-o-sana mein hai magan
us ki paki ko bayan karta hua nila gagan
azmat-e-rab ke qasida-KHwan hain ye koh-o-daman
ek usi ke nam se raushan hue kaun-o-makan
yaad karta hai KHuda ko har ghaDi sara jahan
us ki azmat ke shawahid chaar jaanib hain ayan
hai har ek zarre ke dil mein malik-e-mulk-e-jahan
kyon magar insan apne rab se ghafil hai yahan
malik-e-arz-o-sama ko yaad karta hai jahan
hamd gati hai zamin tasbih paDhta aasman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.