hamd ka tarana
jab roz saverā hotā hai
jab duur añdherā hotā hai
jab duniyā ke is gulshan meñ
phir nuur kā pherā hotā hai
ek ek kalī khil jaatī hai aur ik ik chiḌiyā gaatī hai
is aise suhāne manzar meñ allāh tirī yaad aatī hai
allāh tirī yaad aatī hai
ye duniyā rañg badaltī hai
phir ek na.ī kal chaltī hai
ye duniyā hai maidān-e-amal
is kal se taan nikaltī hai
har zinda hastī is kī sadā par kāmoñ meñ lag jaatī hai
is aise suhāne manzar meñ allāh tirī yaad aatī hai
allāh tirī yaad aatī hai
khetoñ par dahqāñ jaate haiñ
khetī meñ jaan khapāte haiñ
din-bhar kī saḳhtī sah sah kar
ārām kī rāhat paate haiñ
jab aas harī khetī kī un ko mehnat par uksātī hai
is aise suhāne manzar meñ allāh tirī yaad aatī hai
allāh tirī yaad aatī hai
ham nek irāde karte haiñ
sustī bekārī se Darte haiñ
har roz sadā aage hī baḌheñ
aise jiine par marte haiñ
jab nekī nuur kā partav ban kar chehroñ ko chamkātī hai
is aise suhāne manzar meñ allāh tirī yaad aatī hai
allāh tirī yaad aatī hai
jab ham sab paḌhne aate haiñ
aapas meñ ghul-mil jaate haiñ
jab sab ke sab ḳhush ho ho kar
'nayyar' kā naġhma gaate haiñ
jab aapas kī ye jot sabhī ke sīnoñ ko garmāti hai
is aise suhāne manzar meñ allāh tirī yaad aatī hai
allāh tirī yaad aatī hai
allāh tirī yaad aatī hai
jab roz sawera hota hai
jab dur andhera hota hai
jab duniya ke is gulshan mein
phir nur ka phera hota hai
ek ek kali khil jati hai aur ek ek chiDiya gati hai
is aise suhane manzar mein allah teri yaad aati hai
allah teri yaad aati hai
ye duniya rang badalti hai
phir ek nai kal chalti hai
ye duniya hai maidan-e-amal
is kal se tan nikalti hai
har zinda hasti is ki sada par kaamon mein lag jati hai
is aise suhane manzar mein allah teri yaad aati hai
allah teri yaad aati hai
kheton par dahqan jate hain
kheti mein jaan khapate hain
din-bhar ki saKHti sah sah kar
aaram ki rahat pate hain
jab aas hari kheti ki un ko mehnat par uksati hai
is aise suhane manzar mein allah teri yaad aati hai
allah teri yaad aati hai
hum nek irade karte hain
susti bekari se Darte hain
har roz sada aage hi baDhen
aise jine par marte hain
jab neki nur ka partaw ban kar chehron ko chamkati hai
is aise suhane manzar mein allah teri yaad aati hai
allah teri yaad aati hai
jab hum sab paDhne aate hain
aapas mein ghul-mil jate hain
jab sab ke sab KHush ho ho kar
'nayyar' ka naghma gate hain
jab aapas ki ye jot sabhi ke sinon ko garmati hai
is aise suhane manzar mein allah teri yaad aati hai
allah teri yaad aati hai
allah teri yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.