hamein insan hone par nadamat hai
Interesting Fact
(In memory of the brutal attack in Peshawar)
ai mere rabb-e-karīm
tū ashraf-e-maḳhlūq kī dastār
mere maġhrūr sar se noch de
aur Daal de ham ko darindoñ kī jamā.at meñ
darindoñ se kabhī duniyā
mohabbat aur shafqat kī tavaqqo hī nahīñ rakhtī
darinde apne qaul-o-fe.al pe nādim nahīñ hote
maiñ apne ham-nasab afrād ke qaul-o-amal se
ek muddat se
pashemānī meñ rahtā huuñ
mujhe ab ashraf-e-maḳhlūq kī tauq-e-garāñ
aur rahm-dil insān kī barqī qabā
bā-vafā hamdard muḳhlis ijz aur ma.asūmiyat ke
Dhoñg se had-darja ghin aane lagī hai
hameñ insān hone par nadāmat hai
ai mere rabb-e-karim
tu ashraf-e-maKHluq ki dastar
mere maghrur sar se noch de
aur Dal de hum ko darindon ki jamaat mein
darindon se kabhi duniya
mohabbat aur shafqat ki tawaqqo hi nahin rakhti
darinde apne qaul-o-feal pe nadim nahin hote
main apne ham-nasab afrad ke qaul-o-amal se
ek muddat se
pashemani mein rahta hun
mujhe ab ashraf-e-maKHluq ki tauq-e-garan
aur rahm-dil insan ki barqi qaba
ba-wafa hamdard muKHlis ijz aur masumiyat ke
Dhong se had-darja ghin aane lagi hai
hamein insan hone par nadamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.