hamein kaha jaega
hameñ kahā jā.egā ki haath upar uThā leñ
aur apne talā.ī ḳhvāb, nuqra.ī va.ade
aur kāñsī ke phuul hamāre havāle kar deñ
apnī mahbūbā.eñ vāldain aur dost
hamāre supurd kar deñ
apnī zamīn aur āsmān girvī rakh deñ
apne samundar aur sahrā
barā.e naam qīmat pe faroḳht kar deñ
kashtiyoñ aur jañgaloñ ko aag lagā deñ
dariyā aur pul ḳhālī kar deñ
ghar chhoḌ ke chale jaa.eñ
aur pīchhe muḌ ke na dekheñ
mohabbat ek nā-munāsib qadam hai
is se gurez kareñ
hameñ kahā jā.egā ki
ā.inda kuchh na kaheñ
hamein kaha jaega ki hath upar uTha len
aur apne talai KHwab, nuqrai wade
aur kansi ke phul hamare hawale kar den
apni mahbubaen waldain aur dost
hamare supurd kar den
apni zamin aur aasman girwi rakh den
apne samundar aur sahra
barae nam qimat pe faroKHt kar den
kashtiyon aur jangalon ko aag laga den
dariya aur pul KHali kar den
ghar chhoD ke chale jaen
aur pichhe muD ke na dekhen
mohabbat ek na-munasib qadam hai
is se gurez karen
hamein kaha jaega ki
aainda kuchh na kahen
- Book : saarii nazmen (Pg. 736)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.