hamein nabud mat karna
agarche suut se takle ne dhāge ko na khīñchā thā
mire reshe bunat ke marhale meñ the
rageñ maañ kī durīdoñ se na bichhḌī thiiñ
maiñ apne jism se kuchh fāsle par thā
magar mere aqīde kā ta.ayyun karne vāloñ ne
mire maslak ke baare meñ
jo sochā thā use tajsīm kar Daalā
maiñ jis dam apne hone par utar aayā
mujhe taqsīm kar Daalā
kisī ne mere māthe par tilak dāġhā
salīboñ ko mirī chhātī pe khīñchā
aur kānoñ meñ azaañ bhar dī
phir is ke ba.ad
peshānī pe añgāre
salībeñ apne siine par
samā.at par namīda zañg ke taale sambhāle
maiñ ne saarī umr
duniyā ke tasarruf meñ guzārī hai
mirī fitrat simaTnā aur
qismat TuuT jaanā hai
maiñ paara huuñ
mujhe duniyā masaltī hai
nafī isbāt kī zarbeñ
mujhe taqsīm kartī haiñ
bikhartā huuñ
mire zarre thirakte haiñ
to kahte haiñ
hameñ nābūd mat karnā
ki jab taqsīm hone kā amal mumkin nahīñ rahtā
to phir zarra
zarā bhar choT khāne par
dhamāke ko ugaltā hai
dhamāke ko samajhte ho
dhamāka jis se harf-e-kun Tapaktā hai
hameñ nābūd mat karnā
agarche sut se takle ne dhage ko na khincha tha
mere reshe bunat ke marhale mein the
ragen man ki duridon se na bichhDi thin
main apne jism se kuchh fasle par tha
magar mere aqide ka tayyun karne walon ne
mere maslak ke bare mein
jo socha tha use tajsim kar Dala
main jis dam apne hone par utar aaya
mujhe taqsim kar Dala
kisi ne mere mathe par tilak dagha
salibon ko meri chhati pe khincha
aur kanon mein azan bhar di
phir is ke baad
peshani pe angare
saliben apne sine par
samaat par namida zang ke tale sambhaale
main ne sari umr
duniya ke tasarruf mein guzari hai
meri fitrat simaTna aur
qismat TuT jaana hai
main para hun
mujhe duniya masalti hai
nafi isbaat ki zarben
mujhe taqsim karti hain
bikharta hun
mere zarre thirakte hain
to kahte hain
hamein nabud mat karna
ki jab taqsim hone ka amal mumkin nahin rahta
to phir zarra
zara bhar choT khane par
dhamake ko ugalta hai
dhamake ko samajhte ho
dhamaka jis se harf-e-kun Tapakta hai
hamein nabud mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.