hamein yaqin hai
daraḳht hai ye ḳhizāñ-girafta
sulagtī vīrāniyoñ
dahakte sukūt kī ik dabīz chādar ko oḌhe
hairān-o-muztarib sā
ki jaise manzil pe luTne vaalā koī musāfir
ba-bātin-e-afsurda-ḳhātir
aur mutma.in ba-zāhir
ki ālam-e-be-bizā.atī hai
na phal hai koī na ġhuncha-o-gul na sabz patte
na vo lachaktī mahaktī shāḳheñ
haiñ sar se pā tak ḳhizāñ kī tārīkiyāñ musallat
kiran kiran mar chukī
umīdeñ dhuāñ dhuāñ haiñ
bujhā bujhā hai daraḳht
lekin bujhe bujhe se daraḳht meñ sabz raushnī so rahī hai ab bhī
hameñ yaqīñ hai
bahār kī rut jab aa.egī
to jagā.egī sabz raushnī ko
daraḳht phir jagmagā uThegā
hayāt kī sabz raushnī se
hameñ yaqīñ hai
daraKHt hai ye KHizan-girafta
sulagti viraniyon
dahakte sukut ki ek dabiz chadar ko oDhe
hairan-o-muztarib sa
ki jaise manzil pe luTne wala koi musafir
ba-baatin-e-afsurda-KHatir
aur mutmain ba-zahir
ki aalam-e-be-bizaati hai
na phal hai koi na ghuncha-o-gul na sabz patte
na wo lachakti mahakti shaKHen
hain sar se pa tak KHizan ki tarikiyan musallat
kiran kiran mar chuki
umiden dhuan dhuan hain
bujha bujha hai daraKHt
lekin bujhe bujhe se daraKHt mein sabz raushni so rahi hai ab bhi
hamein yaqin hai
bahaar ki rut jab aaegi
to jagaegi sabz raushni ko
daraKHt phir jagmaga uThega
hayat ki sabz raushni se
hamein yaqin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.