hamesha tishnagi ko zeb-e-tan rakha
tumheñ ham ne batāyā thā
tamannā ke subuk qadmoñ se raste tai nahīñ hote
magar tum ko hamārī baat par īmān hī kab thā
hamīñ the
jo tumhārī an-kahī bātoñ kā bhī idrāk rakhte the
ye ham the
jo tumhāre lafz kī hurmat ko
dil kī rehl meñ rakh kar
duā-e-nīm-shab ke saath paḌhte the
magar shāyad hamārī sab munājāteñ
tumhāre dil kī be-rauzan samā.at tak nahīñ pahuñchīñ
phir aisā thā
tumhāre paas jitne zaḳhm the
sab ham ko de Daale
ye zaḳhmoñ kī qabā bhī ḳhuub thī
jab tumhārī yaad ke jhoñke
use chhū kar guzarte the
to ye tan se chipaktī thī
magar ham ne kabhī zaḳhmoñ pe marham tak nahīñ rakhā
hamārī aarzū ne to
hamesha tishnagī ko zeb-e-tan rakkhā
tumhein hum ne bataya tha
tamanna ke subuk qadmon se raste tai nahin hote
magar tum ko hamari baat par iman hi kab tha
hamin the
jo tumhaari an-kahi baaton ka bhi idrak rakhte the
ye hum the
jo tumhaare lafz ki hurmat ko
dil ki rehl mein rakh kar
dua-e-nim-shab ke sath paDhte the
magar shayad hamari sab munajaten
tumhaare dil ki be-rauzan samaat tak nahin pahunchin
phir aisa tha
tumhaare pas jitne zaKHm the
sab hum ko de Dale
ye zaKHmon ki qaba bhi KHub thi
jab tumhaari yaad ke jhonke
use chhu kar guzarte the
to ye tan se chipakti thi
magar hum ne kabhi zaKHmon pe marham tak nahin rakha
hamari aarzu ne to
hamesha tishnagi ko zeb-e-tan rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.