hamraaz
ab ye sūrat bhī to dekho aa kar
kis tarah aks meñ miltā hai sarāpā merā
kaise dil dard kī āvāz banā jaatā hai
kis tarah aa.ina hamrāz banā jaatā hai
reg-zāroñ meñ ḳhayāloñ ke
maiñ tanhā aksar
tere malbūs kī nik.hat le kar
apnī darmāñda mohabbat le kar
isī ā.īne kī hamdard rifāqat le kar
maiñ ne bhī jiine kī ik raah nikālī āḳhir
jo ukhaḌ jaane ko thī saañs
sañbhālī āḳhir
vaqt kis tarah se ik raaz banā sochtī huuñ
kis tarah aa.ina hamrāz banā sochtī huuñ
ab ye surat bhi to dekho aa kar
kis tarah aks mein milta hai sarapa mera
kaise dil dard ki aawaz bana jata hai
kis tarah aaina hamraaz bana jata hai
reg-zaron mein KHayalon ke
main tanha aksar
tere malbus ki nikhat le kar
apni darmanda mohabbat le kar
isi aaine ki hamdard rifaqat le kar
main ne bhi jine ki ek rah nikali aaKHir
jo ukhaD jaane ko thi sans
sanbhaali aaKHir
waqt kis tarah se ek raaz bana sochti hun
kis tarah aaina hamraaz bana sochti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.