hamwar
naqsh miTtā hai
to miT jaa.e
qadam haiñ sābit
mauj sarkash hai agar
ham bhī bahut ziddī haiñ
roz ik naqsh nayā sabt kareñge yūñhī
par agar kaT bhī ga.e
hausla shahpar hogā
jaarī taḳh.īl kī parvāz rahegī yūñhī
ham nahīñ dariyāoñ ke anjām se Darne vaale
rāsta kar ke samundar ko guzar jā.eñge
naqsh miTta hai
to miT jae
qadam hain sabit
mauj sarkash hai agar
hum bhi bahut ziddi hain
roz ek naqsh naya sabt karenge yunhi
par agar kaT bhi gae
hausla shahpar hoga
jari taKHil ki parwaz rahegi yunhi
hum nahin dariyaon ke anjam se Darne wale
rasta kar ke samundar ko guzar jaenge
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.